sameTo in bikhartī sā.atoñ ko
band muTThī khol kar āzād kar do
saarī samtoñ ko
nigāhoñ kī hadoñ se sab manāzir haTte jaate haiñ
sarāboñ ke samundar ke kināre kaTte jaate haiñ
sarāboñ ke samundar ke musāfir chhoTī chhoTī TukḌiyoñ meñ baTte jaate haiñ
havā ke hoñT in alfāz ko dohrāte jaate haiñ
sameTo in bikhartī sā.atoñ ko
band muTThī khol kar āzād kar do
saarī samtoñ ko
sameTo in bikharti saaton ko
band muTThi khol kar aazad kar do
sari samton ko
nigahon ki hadon se sab manazir haTte jate hain
sarabon ke samundar ke kinare kaTte jate hain
sarabon ke samundar ke musafir chhoTi chhoTi TukDiyon mein baTte jate hain
hawa ke honT in alfaz ko dohraate jate hain
sameTo in bikharti saaton ko
band muTThi khol kar aazad kar do
sari samton ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.