intishaar-sifat
ye TūTte hue lamhe
ye muntashir nazreñ
ye zaḳhm zaḳhm ujāle
ye ḳhūñ-fishāñ rāteñ
ye zard zard se chehre
ye Dūbtī āñkheñ
ye bujhte sho.aloñ kā manzar
ye raakh raakh se ghar
ye tāq-e-dil pe larazte hue charāġh-e-sukūñ
ye Daal Daal bhaTakte hue tuyūr-e-fusūñ
ye jism jism se uThtā dhuāñ dhuāñ lahja
masīh-e-vaqt se kartā hai iltijā
lekin
harīm-e-lafz se ma.anī nikal chuke haiñ ab
vo zohd zohd savere badal chuke haiñ ab
sisak rahī hai ragoñ meñ lahū kī sargoshī
ḳhud apne aap se ghabrā rahī hai ḳhāmoshī
ye TuTte hue lamhe
ye muntashir nazren
ye zaKHm zaKHm ujale
ye KHun-fishan raaten
ye zard zard se chehre
ye Dubti aankhen
ye bujhte shoalon ka manzar
ye rakh rakh se ghar
ye taq-e-dil pe larazte hue charagh-e-sukun
ye Dal Dal bhaTakte hue tuyur-e-fusun
ye jism jism se uThta dhuan dhuan lahja
masih-e-waqt se karta hai iltija
lekin
harim-e-lafz se mani nikal chuke hain ab
wo zohd zohd sawere badal chuke hain ab
sisak rahi hai ragon mein lahu ki sargoshi
KHud apne aap se ghabra rahi hai KHamoshi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.