intizar
ek āvāz is tarah aa.ī
jaise tū ne mujhe pukārā hai
ye tasavvur hai yā haqīqat hai
aaj bhī sāmne nigāhoñ ke
terā chehra hī muskurātā hai
ḳhvāb dekhā thā ek maiñ ne bhī
us kī tā'bīr kyā milī mujh ko
ashk-e-ġham dard aur tanhā.ī
zindagī raas kyoñ nahīñ aa.ī
tū mire paas kyoñ nahīñ aa.ī
mujh ko hai terā intizār bahut
dil bhī hai merā be-qarār bahut
jab bhī aahaT sunā.ī detī hai
mujh ko terā ḳhayāl aatā hai
ashk āñkhoñ se bahne lagte haiñ
aur phir maiñ udaas rahtī huuñ
ek aawaz is tarah aai
jaise tu ne mujhe pukara hai
ye tasawwur hai ya haqiqat hai
aaj bhi samne nigahon ke
tera chehra hi muskuraata hai
KHwab dekha tha ek main ne bhi
us ki ta'bir kya mili mujh ko
ashk-e-gham dard aur tanhai
zindagi ras kyon nahin aai
tu mere pas kyon nahin aai
mujh ko hai tera intizar bahut
dil bhi hai mera be-qarar bahut
jab bhi aahaT sunai deti hai
mujh ko tera KHayal aata hai
ashk aankhon se bahne lagte hain
aur phir main udas rahti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.