intizar
ye tārīk shab jo kā.enāt par pasar ga.ī hai
kab se jaane ye munjamid thī dinoñ ke biich
roz karte the sub.h-o-shām bhī tavāf jis kā
qatra-qatra jo terī āñkhoñ ke ā.īne meñ
merī āñkhoñ ke dā.ere meñ pighal rahī hai
ye ek mo'jiza hai apne aap meñ
is ek raat kī qindīl dekho
chalī hī aatī hai azal se ye bhī
jale musalsal ye jā rahī hai
ek zamāna guzar chukā hai
yā ke is se bhī ziyāda shāyad
magar raat ye nā-tamām hai
jaise is ko bhī merī tarah
ka.ī sadiyoñ ke intizār kī sazā milī hai
ye tarik shab jo kaenat par pasar gai hai
kab se jaane ye munjamid thi dinon ke bich
roz karte the subh-o-sham bhi tawaf jis ka
qatra-qatra jo teri aankhon ke aaine mein
meri aankhon ke daere mein pighal rahi hai
ye ek mo'jiza hai apne aap mein
is ek raat ki qindil dekho
chali hi aati hai azal se ye bhi
jale musalsal ye ja rahi hai
ek zamana guzar chuka hai
ya ke is se bhi ziyaada shayad
magar raat ye na-tamam hai
jaise is ko bhi meri tarah
kai sadiyon ke intizar ki saza mili hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.