intizar
zindagī lamha-e-maujūd meñ lipTī huī ik saañs se bojhal hai bahut
maut is lamha-e-lā-fānī-o-dā.im ke guzar jaane kī ummīd meñ
us paar
khaḌī hai kab se
kā.enāt apne shab-o-roz kī gardish se harāsāñ bezār
muntazir ek sadā-e-kun kī
aisī saa.at kī jahāñ
hast-o-būd aur vajūd aur adam kā ye tamāshā miT jaa.e
zaat meñ merī
isī gardish-e-roz-o-shab kā
ek bechain harāsāñ lamha
sochtā rahtā hai vo arsh-makīñ
jaane kyā soch ke ḳhāmosh hai
kuchh bole bhī
kun-fayakūñ kā tamāshā jo bahut pahle kabhī jaarī huā thā 'anjum'
us ke anjām kā elaan ab
ho jaa.e bhī
zindagi lamha-e-maujud mein lipTi hui ek sans se bojhal hai bahut
maut is lamha-e-la-fani-o-daim ke guzar jaane ki ummid mein
us par
khaDi hai kab se
kaenat apne shab-o-roz ki gardish se harasan bezar
muntazir ek sada-e-kun ki
aisi saat ki jahan
hast-o-bud aur wajud aur adam ka ye tamasha miT jae
zat mein meri
isi gardish-e-roz-o-shab ka
ek bechain harasan lamha
sochta rahta hai wo arsh-makin
jaane kya soch ke KHamosh hai
kuchh bole bhi
kun-fayakun ka tamasha jo bahut pahle kabhi jari hua tha 'anjum'
us ke anjam ka elan ab
ho jae bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.