zulmat-e-shab hai
aur dil tanhā
maiñ bhī tanhā ḳhayāl bhī tanhā
har taraf hai
sukūt-e-ḳhāmoshī
aise māhaul meñ
tirī yādeñ
sarsarātī huī sabā kī tarah
gudgudātī haiñ dil ko aa aa kar
aur
phir dil machal sā uThtā hai
tujh ko paane kī aarzū phir se
mujh meñ añgḌā.iyāñ sī letī hai
aur kānoñ meñ yak-ba-yak jaise
nuqra.ī ghanTiyāñ sī bajtī haiñ
tab kahīñ tujh pe giit likhtā huuñ
terā milnā to ab nahīñ mumkin
phir bhī hai terā intizār mujhe
zulmat-e-shab hai
aur dil tanha
main bhi tanha KHayal bhi tanha
har taraf hai
sukut-e-KHamoshi
aise mahaul mein
teri yaaden
sarsaraati hui saba ki tarah
gudgudati hain dil ko aa aa kar
aur
phir dil machal sa uThta hai
tujh ko pane ki aarzu phir se
mujh mein angDaiyan si leti hai
aur kanon mein yak-ba-yak jaise
nuqrai ghanTiyan si bajti hain
tab kahin tujh pe git likhta hun
tera milna to ab nahin mumkin
phir bhi hai tera intizar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.