is ahd ki be-his saaton ke nam
yahāñ ab ek taara
zard taara bhī nahīñ baaqī
yahāñ ab āsmāñ ke
chīthaḌoñ kī phaḌphaḌāhaT bhī nahīñ baaqī
yahāñ par saare sūraj
taare sūraj
tairte aflāk se gir kar
kisī pātāl meñ gum haiñ
yahāñ ab saare sayyāroñ kī gardish
ruk ga.ī hai
yahāñ ab raushnī hai
aur na āvāzoñ kī larzish hai
na jismoñ meñ hī harakat hai
yahāñ par ab faqat
ik ḳhāmushī kī phaḌphaḌāhaT hai
yahan ab ek tara
zard tara bhi nahin baqi
yahan ab aasman ke
chithaDon ki phaDphaDahaT bhi nahin baqi
yahan par sare suraj
tare suraj
tairte aflak se gir kar
kisi patal mein gum hain
yahan ab sare sayyaron ki gardish
ruk gai hai
yahan ab raushni hai
aur na aawazon ki larzish hai
na jismon mein hi harakat hai
yahan par ab faqat
ek KHamushi ki phaDphaDahaT hai
- Book : Prindey,phool taalab (Pg. 150)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.