is se baDa dukh kya hoga
is se pahle
jitnī ii.deñ guzrī haiñ
har iid se pahle
mere bachche
apnī narm rupahlī bāñheñ
merī gardan meñ jab Daal ke kahte the
ham eidī lene aa.e haiñ
vo ḳhushiyoñ se labrez munavvar ghaḌiyāñ
kitnī achchhī lagtī thiiñ jab
baḌī baḌī raqmoñ ko vo Thukrāte the
aur baḌe baḌe tohfoñ par bhī vo
apne muñh laTkāte the
vo mujh se ruuTh ke
apnī ammī ke pahlū meñ jaate the
vo un kī chamkīlī chāhat
vo un ke ruuTh ke jaane kī
be-dard sī hasrat
jab bhī karvaT letī hai
dil ḳhuun ke aañsū rotā hai
aur ab ke hisār zindāñ meñ
yuuñ iid hamārī guzrī hai
vo jhagḌā karne vaale
ruuTh ke jaane vaale bachche
mujh ko jail meñ eidī dene aa.e haiñ
is se pahle
jitni iden guzri hain
har id se pahle
mere bachche
apni narm rupahli banhen
meri gardan mein jab Dal ke kahte the
hum eidi lene aae hain
wo KHushiyon se labrez munawwar ghaDiyan
kitni achchhi lagti thin jab
baDi baDi raqmon ko wo Thukraate the
aur baDe baDe tohfon par bhi wo
apne munh laTkate the
wo mujh se ruTh ke
apni ammi ke pahlu mein jate the
wo un ki chamkili chahat
wo un ke ruTh ke jaane ki
be-dard si hasrat
jab bhi karwaT leti hai
dil KHun ke aansu rota hai
aur ab ke hisar zindan mein
yun id hamari guzri hai
wo jhagDa karne wale
ruTh ke jaane wale bachche
mujh ko jail mein eidi dene aae hain
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 482)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.