ishq aslahon ki zad par
maiñ sarāpā ishq merī jaañ ke darpai hai sabhī kuchh
mere andar aur bāhar aslahoñ kī garm-bāzārī hai har sū
ye hilāl-e-nau kisī ke hijr kā ḳhanjar hai shāyad
ye ghaḌī dīvār kī har lamha mujh ko kāTtī hai
yaad kī barchhī mire siine pe hamla-zan hai har dam
intizār aisā sulagtā hai mire atrāf-e-jāñ meñ
ātishīñ-bārūd kā jaltā huā ho Dher jaise
merī sāñsoñ meñ kisī kī be-ruḳhī kī āriyāñ sī chal rahī haiñ
merī dhaḌkan kī taḌap meñ raqs-e-bismil kā samāñ hai
jaise dil par bevafā.ī kī chhurī pherī ga.ī ho
jab bhī purvā.ī chale to aisā lagtā hai ki topoñ ke dahāne khul ga.e haiñ
maiñ sarāpā ishq merī jaañ ke darpai hai sabhī kuchh
main sarapa ishq meri jaan ke darpai hai sabhi kuchh
mere andar aur bahar aslahon ki garm-bazari hai har su
ye hilal-e-nau kisi ke hijr ka KHanjar hai shayad
ye ghaDi diwar ki har lamha mujh ko kaTti hai
yaad ki barchhi mere sine pe hamla-zan hai har dam
intizar aisa sulagta hai mere atraf-e-jaan mein
aatishin-barud ka jalta hua ho Dher jaise
meri sanson mein kisi ki be-ruKHi ki aariyan si chal rahi hain
meri dhaDkan ki taDap mein raqs-e-bismil ka saman hai
jaise dil par bewafai ki chhuri pheri gai ho
jab bhi purwai chale to aisa lagta hai ki topon ke dahane khul gae hain
main sarapa ishq meri jaan ke darpai hai sabhi kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.