Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq

MORE BYAnwar Abbas

    ishq mahdūd nahīñ qissa-o-afsāna tak

    ishq mahdūd nahīñ jalva-e-jānāna tak

    ishq nazzāra-o-dīdār se aage hai baat

    ishq chashm-o-lab-o-ruḳhsār se aage hai baat

    ishq bām-o-dar-o-dīvār se aage hai baat

    ishq āgāhī-o-irfān āyāt naam

    ishq idrāk-o-tadabbur ke kamālāt naam

    ishq ehsās ma.asūmī-e-jazbāt naam

    ishq tārīḳh meñ sadiyoñ rivāyāt naam

    phuul se aa.ine se sañg se ho saktā hai ishq

    sub.h ke khilte hue rang se ho saktā hai ishq

    ishq allāh se asnām se ho saktā hai

    ishq dil-soz-o-dil-ārām se ho saktā hai

    ishq sañvlātī huī raat se ho saktā hai

    ishq bhīgī huī barsāt se ho saktā hai

    ishq kul arz-o-samāvāt se ho saktā hai

    aur kul arz-o-samāvāt se aage bhī hai ishq

    ishq ma.alūm nahīñ kis ko kahāñ tak le jaa.e

    ishq hai rāhbar-e-nafs jahāñ tak le jaa.e

    ishq mahdud nahin qissa-o-afsana tak

    ishq mahdud nahin jalwa-e-jaanana tak

    ishq nazzara-o-didar se aage ki hai baat

    ishq chashm-o-lab-o-ruKHsar se aage ki hai baat

    ishq baam-o-dar-o-diwar se aage ki hai baat

    ishq aagahi-o-irfan ki aayat ka nam

    ishq idrak-o-tadabbur ke kamalat ka nam

    ishq ehsas ka masumi-e-jazbaat ka nam

    ishq tariKH mein sadiyon ki riwayat ka nam

    phul se aaine se sang se ho sakta hai ishq

    subh ke khilte hue rang se ho sakta hai ishq

    ishq allah se asnam se ho sakta hai

    ishq dil-soz-o-dil-aram se ho sakta hai

    ishq sanwlati hui raat se ho sakta hai

    ishq bhigi hui barsat se ho sakta hai

    ishq kul arz-o-samawat se ho sakta hai

    aur kul arz-o-samawat se aage bhi hai ishq

    ishq malum nahin kis ko kahan tak le jae

    ishq hai rahbar-e-nafs jahan tak le jae

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now