aaKHiri KHabar
vo jo apne pichhvāḌe ik berī thī
saarī do-pahrī laḌke us ke gird ikaTThā rahte the
aur patthar maarā karte the
itne patthar
itne patthar
sab āñgan bhar jaatā thā
berī zaḳhmī ho jaatī thī
shāḳheñ lahūluhān karāhtī rahtī thiiñ
patthar mārne vaale laḌkoñ meñ tum aage hote the
aur do-pahreñ
ek zarā achchhī kaT jaayā kartī thiiñ
ye to ḳhair
bhūlī-bisrī bāteñ thiiñ
kal vo berī ammāñ ne kaTvā dī hai
mujh ko to kuchh itnā ziyāda ġham bhī nahīñ
maiñ bhī apne aap se kaT kar
āḳhir zinda huuñ ki nahīñ
wo jo apne pichhwaDe ek beri thi
sari do-pahri laDke us ke gird ikaTTha rahte the
aur patthar mara karte the
itne patthar
itne patthar
sab aangan bhar jata tha
beri zaKHmi ho jati thi
shaKHen lahuluhan karahti rahti thin
patthar marne wale laDkon mein tum aage hote the
aur do-pahren
ek zara achchhi kaT jaya karti thin
ye to KHair
bhuli-bisri baaten thin
kal wo beri amman ne kaTwa di hai
mujh ko to kuchh itna ziyaada gham bhi nahin
main bhi apne aap se kaT kar
aaKHir zinda hun ki nahin
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 106)
- Author : Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.