istifsar
vo kyā jāneñ kyoñ māh-pāroñ se pūchho
mohabbat hai kyā ġham ke māroñ se pūchho
lahū be ḳhatāoñ kā kitnā bahā hai
ye jā kar zarā lāla-zāroñ se pūchho
agar pūchhnā haiñ ḳhizāñ ke mazālim
gulistāñ kī guzrī bahāroñ se pūchho
kahāñ pahūñchā hai kārvāñ zindagī kā
ye jā kar shikasta mazāroñ se pūchho
vafā ke liye kitnā roī hai duniyā
taḌapte hue ābshāroñ se pūchho
rah-e-ishq meñ vasl hogā kahāñ par
ye dariyā ke donoñ kināroñ se pūchho
hai bīmār-e-furqat kā kyā ab sahārā
ye jaate hue chāñd-tāroñ se pūchho
sukūñ dil ko miltā hai furqat meñ kaise
shab-e-hijr ke be-qarāroñ se pūchho
diyā kyā hai bād-e-bahārī ne tohfa
ye jaib-o-garebāñ ke tāroñ se pūchho
sadā saath un ke guzārī haiñ rāteñ
mirā haal tum chāñd-tāroñ se pūchho
pata pūchhnā hai agar 'ja.afarī' kā
to dasht-e-muġhīlāñ ke ḳhāroñ se pūchho
wo kya jaanen kyon mah-paron se puchho
mohabbat hai kya gham ke maron se puchho
lahu be KHataon ka kitna baha hai
ye ja kar zara lala-zaron se puchho
agar puchhna hain KHizan ke mazalim
gulistan ki guzri bahaaron se puchho
kahan pahuncha hai karwan zindagi ka
ye ja kar shikasta mazaron se puchho
wafa ke liye kitna roi hai duniya
taDapte hue aabshaaron se puchho
rah-e-ishq mein wasl hoga kahan par
ye dariya ke donon kinaron se puchho
hai bimar-e-furqat ka kya ab sahaara
ye jate hue chand-taron se puchho
sukun dil ko milta hai furqat mein kaise
shab-e-hijr ke be-qararon se puchho
diya kya hai baad-e-bahaari ne tohfa
ye jaib-o-gareban ke taron se puchho
sada sath un ke guzari hain raaten
mera haal tum chand-taron se puchho
pata puchhna hai agar 'jafari' ka
to dasht-e-mughilan ke KHaron se puchho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.