ittifaq
ik būḌhe ke chaar the beTe
aapas meñ the laḌte jhagaḌte
saḳht huā bīmār vo būḌhā
beToñ ko tab paas bulāyā
apne har beTe se bolā
ik ik lakḌī tū le aanā
ik ik lakḌī chāroñ laa.e
bolā tab būḌhā yuuñ un se
apnā apnā zor lagāo
chāroñ ko ab toḌ dikhāo
chāroñ hī ne zor lagāyā
koī na un ko toḌne paayā
tab laḌkoñ se bolā būḌhā
achchhā ab kholo ye gaTThā
ik ik lakḌī le kar toḌo
ek ko bhī in meñ se na chhoḌo
har laḌke ne har lakḌī ke
kar diye fauran TukḌe TukḌe
tab būḌhe ne kahā ai laḌko
is kā sabab ma.alūm hai tum ko
pahle na TūTīñ ab kyuuñ TūTīñ
aisī TūTeñ juḌ nahīñ saktīñ
pahle to vo sab thiiñ ikaTThā
alag huiiñ to ye dukh paayā
yūñhī raho tum sab bhī ikaTThā
tum ko na koī toḌ sakegā
aur jo hue ik ik se judā tum
rahne lage aapas meñ ḳhafā tum
barbādī āsāñ hai tumhārī
maano dekho baat hamārī
yahī to 'jauhar' bhī kahtā hai
laḌnā jhagaḌnā burī balā hai
ek buDhe ke chaar the beTe
aapas mein the laDte jhagaDte
saKHt hua bimar wo buDha
beTon ko tab pas bulaya
apne har beTe se bola
ek ek lakDi tu le aana
ek ek lakDi chaaron lae
bola tab buDha yun un se
apna apna zor lagao
chaaron ko ab toD dikhao
chaaron hi ne zor lagaya
koi na un ko toDne paya
tab laDkon se bola buDha
achchha ab kholo ye gaTTha
ek ek lakDi le kar toDo
ek ko bhi in mein se na chhoDo
har laDke ne har lakDi ke
kar diye fauran TukDe TukDe
tab buDhe ne kaha ai laDko
is ka sabab malum hai tum ko
pahle na TuTin ab kyun TuTin
aisi TuTen juD nahin saktin
pahle to wo sab thin ikaTTha
alag huin to ye dukh paya
yunhi raho tum sab bhi ikaTTha
tum ko na koi toD sakega
aur jo hue ek ek se juda tum
rahne lage aapas mein KHafa tum
barbaadi aasan hai tumhaari
mano dekho baat hamari
yahi to 'jauhar' bhi kahta hai
laDna jhagaDna buri bala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.