ittifaq
tum ittifāq se phir yaad aa ga.e mujh ko
ye ittifāq magar kis qadar hasīñ niklā
tumhārī yaad ne baḳhshī hai raushnī jis ko
tumhārā aks usī dil meñ jāguzīñ niklā
is ittifāq pe qurbān kyoñ na ho jaa.eñ
tumhārī dīd-e-mukarrar kā aasrā Thahrā
vo aarzū jo tumheñ dekh kar panaptī hai
is ittifāq se is kā bhī silsila Thahrā
ye raaz kyā hai ki dil ke qarīb ho kar bhī
nazar-navāz tumhārā jamāl ho na sakā
junūñ naqāb-kushā.ī kahīñ kare to kare
kabhī ḳhirad se to hal ye savāl ho na sakā
nazar uThe to gire us pe parda-e-hairat
nazar uThā ke tamāshā bane tamāshā.ī
jo ittifāq se tum sāmne kabhī aao
nazar ko luuT ke le jaa.e jalva-ārā.ī
tum ittifaq se phir yaad aa gae mujh ko
ye ittifaq magar kis qadar hasin nikla
tumhaari yaad ne baKHshi hai raushni jis ko
tumhaara aks usi dil mein jaguzin nikla
is ittifaq pe qurban kyon na ho jaen
tumhaari did-e-mukarrar ka aasra Thahra
wo aarzu jo tumhein dekh kar panapti hai
is ittifaq se is ka bhi silsila Thahra
ye raaz kya hai ki dil ke qarib ho kar bhi
nazar-nawaz tumhaara jamal ho na saka
junun naqab-kushai kahin kare to kare
kabhi KHirad se to hal ye sawal ho na saka
nazar uThe to gire us pe parda-e-hairat
nazar uTha ke tamasha bane tamashai
jo ittifaq se tum samne kabhi aao
nazar ko luT ke le jae jalwa-arai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.