izhaar
ham ne sochā ab shikasta ghar muqaffal nahīñ ho sakte
kivāḌoñ ke baġhair
achchhe kivāḌ achchhī imārat ke baġhair
ham ne kuchh kaalī tijārat se kamā.ī kī
udhar kuchh jangaloñ ke chor apne yaar the
lakḌī ḳharīdī aur kivāḌoñ aur kaḌiyoñ meñ ghaḌī
naqshe banā.e aur dīvāreñ chunīñ ham ne chhateñ Dālīñ
na.ī ta.amīr ko har rang kī har art kī dhaj dī
phir apnī soch aur ehsās kī rā.anā nazar-afroz
tasvīroñ se kamroñ ko sajā kar aa.ine ke sāmne aa.e
aur ik fankār kī naḳhvat se bāloñ ko bikherā
aur chehre ko banāvaT dī
yahī chehra hamāre saath cigarette phūñktā
saḌkoñ pe phirtā hoTeloñ meñ chaa.e piitā thā
zamāne bhar kī gappeñ hāñktā thā
lekin us sach kī sadā us meñ muqaffal thī jo us ke ahd kā sach thā
vo gūñgā thā
kivāḌoñ kī tarah apne makāñ meñ apnī tasvīr kī sūrat ham muqaffal the
aur ab jab shahr meñ baḌhte dhamākoñ ne
makāñ larzā diyā hai toḌ Daale haiñ kivāḌ aur masḳh kar Daalī haiñ tasvīreñ
hameñ ye dukh hai ham ḳhud meñ muqaffal kyoñ hue the
jabr kī baḌhtī huī mī.ād meñ
sabr kī shafqat bharī būḌhī duā.eñ kyoñ nahīñ
ham ne ḳhud par kyoñ ḳhalā ke fāsle lambe kiye
sach kī ḳhāmoshī ke mujrim kyoñ bane
chup gavāra kyoñ huī
baat gūñge kā ishāra kyoñ huī
ham agar lab kholte
kuchh dūsre bhī bolte
kuchh dūsre bhī bolte
hum ne socha ab shikasta ghar muqaffal nahin ho sakte
kiwaDon ke baghair
achchhe kiwaD achchhi imarat ke baghair
hum ne kuchh kali tijarat se kamai ki
udhar kuchh jangalon ke chor apne yar the
lakDi KHaridi aur kiwaDon aur kaDiyon mein ghaDi
naqshe banae aur diwaren chunin hum ne chhaten Dalin
nai tamir ko har rang ki har art ki dhaj di
phir apni soch aur ehsas ki raana nazar-afroz
taswiron se kamron ko saja kar aaine ke samne aae
aur ek fankar ki naKHwat se baalon ko bikhera
aur chehre ko banawaT di
yahi chehra hamare sath cigarette phunkta
saDkon pe phirta hoTelon mein chae pita tha
zamane bhar ki gappen hankta tha
lekin us sach ki sada us mein muqaffal thi jo us ke ahd ka sach tha
wo gunga tha
kiwaDon ki tarah apne makan mein apni taswir ki surat hum muqaffal the
aur ab jab shahr mein baDhte dhamakon ne
makan larza diya hai toD Dale hain kiwaD aur masKH kar Dali hain taswiren
hamein ye dukh hai hum KHud mein muqaffal kyon hue the
jabr ki baDhti hui miad mein
sabr ki shafqat bhari buDhi duaen kyon nahin
hum ne KHud par kyon KHala ke fasle lambe kiye
sach ki KHamoshi ke mujrim kyon bane
chup gawara kyon hui
baat gunge ka ishaara kyon hui
hum agar lab kholte
kuchh dusre bhi bolte
kuchh dusre bhi bolte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.