iztirab-e-intizar
shām-e-alam-numā hai shab hai sukūt-afzā
oḌhe hue hai goyā chādar siyāh duniyā
ik sham.a muzmahil hai ḳhāmosh aur tanhā
har har nafas se jis ke paidā hai ek sho.ala
hājat nahīñ hai mujh ko ab aisī zindagī kī
ai nā-shanās-e-ulfat kuchh had bhī bekasī kī
merā dil-e-hazīñ hai vīrāna-e-tamannā
ābād thā kabhī ye kāshāna-e-tamanna
kab tak rahūñ maiñ āḳhir dil-resh-o-dil-shikasta
āñkhoñ meñ phir rahā hai apnā vo pahlā naqsha
ābād jab makāñ thā masrūr ye makīñ thā
ya.anī ki dil na merā āvāra-o-hazīñ thā
qismat bigaḌ ga.ī hai kyūñkar ise banā.ūñ
is dāstān-e-ġham ko apnī kise sunā.ūñ
tum kyā phire ki goyā duniyā phirī huī hai
ranj-o-alam se har shai yaksar ghirī huī hai
rah-rah ke mere dil meñ ab dard uTh rahā hai
yās-o-alam kā naqsha goyā khiñchā huā hai
jo shai hai is jahāñ meñ tārīk hai nazar meñ
ik dard sā hai dil meñ ik Tiis hai jigar meñ
har lamha zindagī kā vaqf-e-tapish hai merā
ye marg-e-bekasī hai yā intizār terā
sham-e-alam-numa hai shab hai sukut-afza
oDhe hue hai goya chadar siyah duniya
ek shama muzmahil hai KHamosh aur tanha
har har nafas se jis ke paida hai ek shoala
hajat nahin hai mujh ko ab aisi zindagi ki
ai na-shanas-e-ulfat kuchh had bhi bekasi ki
mera dil-e-hazin hai virana-e-tamanna
aabaad tha kabhi ye kashana-e-tamanna
kab tak rahun main aaKHir dil-resh-o-dil-shikasta
aankhon mein phir raha hai apna wo pahla naqsha
aabaad jab makan tha masrur ye makin tha
yani ki dil na mera aawara-o-hazin tha
qismat bigaD gai hai kyunkar ise banaun
is dastan-e-gham ko apni kise sunaun
tum kya phire ki goya duniya phiri hui hai
ranj-o-alam se har shai yaksar ghiri hui hai
rah-rah ke mere dil mein ab dard uTh raha hai
yas-o-alam ka naqsha goya khincha hua hai
jo shai hai is jahan mein tarik hai nazar mein
ek dard sa hai dil mein ek Tis hai jigar mein
har lamha zindagi ka waqf-e-tapish hai mera
ye marg-e-bekasi hai ya intizar tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.