izzat chadar aur dua
ḳhāmoshiyoñ ke sahrā meñ dafn
maiñ ki
izzat chādar aur duā
din raat ke sisakte pahroñ meñ
raushniyoñ ke kaale ujāloñ meñ
lekin miTTī khelne vaalī
ākās bel
havā kī beTī
lā-ilmī ke ḳhvāb rache haiñ āñkhoñ meñ
paivand lagā muqaddar qaid hai sāñsoñ meñ
vaqt ke be-kanār jangal meñ
adh-jalī chādar se sar ko Dhāñpe
ḳhushī kī ik āvāra titlī ke pīchhe
jaane kab se bhaag rahī huuñ
ḳhvāboñ ke vīrān nagar meñ
jaane kab se jaag rahī huuñ
maiñ ki
izzat chādar aur duā
KHamoshiyon ke sahra mein dafn
main ki
izzat chadar aur dua
din raat ke sisakte pahron mein
raushniyon ke kale ujalon mein
lekin miTTi khelne wali
aakas bel
hawa ki beTi
la-ilmi ke KHwab rache hain aankhon mein
paiwand laga muqaddar qaid hai sanson mein
waqt ke be-kanar jangal mein
adh-jali chadar se sar ko Dhanpe
KHushi ki ek aawara titli ke pichhe
jaane kab se bhag rahi hun
KHwabon ke viran nagar mein
jaane kab se jag rahi hun
main ki
izzat chadar aur dua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.