Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jadugari

MORE BYShahid Ahmad Shoaib

    karishmoñ bāteñ

    karāmāt zikr

    jādūgarī ke fasāne

    kabhī dāstānoñ meñ ham ne paḌhe the

    sunā thā

    koī jādūgar

    jāgte paanī meñ

    aag ke sau jazīre banātā

    sharāroñ se

    phūloñ qismeñ ugātā

    kabhī

    ujḌī manhūs bastiyoñ ko

    vo gulzār kar ke

    unheñ pariyoñ aur apsarāoñ se ābād kartā

    kabhī

    shahr ke shahr

    bastī bastī ko

    ik pal meñ sahrā banātā

    kabhī chāñd sūraj ko

    muTThī meñ vo qaid kartā

    kabhī

    apnī ḳhālī hathelī pe sau chāñd sūraj jagātā

    sunā thā

    koī jādūgar

    daraḳhtoñ shāḳhoñ ko

    zahrīle sāñpoñ meñ tabdīl kartā

    kabhī

    āsmāñ ke parindoñ parvāz ko rok letā

    kabhī

    un ke par kaaT kar

    un ko phir se uḌātā

    karishmoñ

    karāmāt-o-jādūgarī ke ye saare fasāne

    kabhī dāstānoñ meñ ham ne paḌhe the

    haqā.eq ke is daur meñ

    garche

    jādūgarī ke ye saare fasāne

    faqat ek tafrīh haiñ

    aql raushnī se bahut duur haiñ

    log dekheñge lekin

    kisī roz bāzār meñ chalte chalte

    maiñ

    patthar meñ tabdīl ho jā.ūñgā

    karishmon ki baaten

    karamat ka zikr

    jadugari ke fasane

    kabhi dastanon mein hum ne paDhe the

    suna tha

    koi jadugar

    jagte pani mein

    aag ke sau jazire banata

    shararon se

    phulon ki qismen ugata

    kabhi

    ujDi manhus si bastiyon ko

    wo gulzar kar ke

    unhen pariyon aur apsaraon se aabaad karta

    kabhi

    shahr ke shahr

    basti ki basti ko

    ek pal mein sahra banata

    kabhi chand suraj ko

    muTThi mein wo qaid karta

    kabhi

    apni KHali hatheli pe sau chand suraj jagata

    suna tha

    koi jadugar

    daraKHton ki shaKHon ko

    zahrile sanpon mein tabdil karta

    kabhi

    aasman ke parindon ki parwaz ko rok leta

    kabhi

    un ke par kaT kar

    un ko phir se uData

    karishmon

    karamat-o-jadugari ke ye sare fasane

    kabhi dastanon mein hum ne paDhe the

    haqaeq ke is daur mein

    garche

    jadugari ke ye sare fasane

    faqat ek tafrih hain

    aql ki raushni se bahut dur hain

    log dekhenge lekin

    kisi roz bazar mein chalte chalte

    main

    patthar mein tabdil ho jaunga

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now