jago aur jagao
jaago jaago jaago pyāre
jaage duniyā vaale saare
dekho sūraj chāñd sitāre
karte haiñ sab tum ko ishāre
tum bhī ġhaflat se baaz aao
jaago jaago sab ko jagāo
bekārī kā ronā kab tak
āñsuoñ se muñh dhonā kab tak
takiya aur bichhaunā kab tak
jaago jaago sonā kab tak
uTho uTho ab uTh jaao
jaago jaago sab ko jagāo
koshish se kuchh karnā sīkho
bal par apne ubharnā sīkho
sirf ḳhudā se Darnā sīkho
haq kī ḳhātir marnā sīkho
kaam koī jag meñ kar jaao
jaago jaago sab ko jagāo
ulfat kī bārish barsāo
nafrat kī ye aag bujhāo
mil kar giit prem ke gaao
ghar ghar ye paiġhām sunāo
aapas ke jhagḌoñ ko miTāo
jaago jaago sab ko jagāo
ab himmat-hāroñ ko uThāo
qismat ke māroñ ko uThāo
ġham ke be-kāroñ ko uThāo
bebas bechāroñ ko uThāo
'nayyar' kā ye naġhma gaao
jaago jaago sab ko jagāo
jago jago jago pyare
jage duniya wale sare
dekho suraj chand sitare
karte hain sab tum ko ishaare
tum bhi ghaflat se baz aao
jago jago sab ko jagao
bekari ka rona kab tak
aansuon se munh dhona kab tak
takiya aur bichhauna kab tak
jago jago sona kab tak
uTho uTho ab uTh jao
jago jago sab ko jagao
koshish se kuchh karna sikho
bal par apne ubharna sikho
sirf KHuda se Darna sikho
haq ki KHatir marna sikho
kaam koi jag mein kar jao
jago jago sab ko jagao
ulfat ki barish barsao
nafrat ki ye aag bujhao
mil kar git prem ke gao
ghar ghar ye paigham sunao
aapas ke jhagDon ko miTao
jago jago sab ko jagao
ab himmat-haaron ko uThao
qismat ke maron ko uThao
gham ke be-karon ko uThao
bebas bechaaron ko uThao
'nayyar' ka ye naghma gao
jago jago sab ko jagao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.