jagte raho
tūfān tham chukā hai magar jāgte raho
kis vaqt kī hai kis ko ḳhabar jāgte raho
ai taaj ke ḳhudāo ajantā ke ḳhāliqo
changez phir chalā hai idhar jāgte raho
sho.ale bujhā ke ham-safaro mutma.in na ho
poshīda raakh meñ hai sharar jāgte raho
har zarra-e-chaman meñ hai la.al-o-gohar kā rang
luTne na paa.eñ la.al-o-gohar jāgte raho
ab raat ḳhud hai apnī siyāhī se be-qarār
āvāz de rahī hai sahar jāgte raho
ab raushnī meñ bhī hai añdhere kā makr-o-fan
kyā e'tibār-e-shām-o-sahar jāgte raho
tufan tham chuka hai magar jagte raho
kis waqt ki hai kis ko KHabar jagte raho
ai taj ke KHudao ajanta ke KHaliqo
changez phir chala hai idhar jagte raho
shoale bujha ke ham-safaro mutmain na ho
poshida rakh mein hai sharar jagte raho
har zarra-e-chaman mein hai lal-o-gohar ka rang
luTne na paen lal-o-gohar jagte raho
ab raat KHud hai apni siyahi se be-qarar
aawaz de rahi hai sahar jagte raho
ab raushni mein bhi hai andhere ka makr-o-fan
kya e'tibar-e-sham-o-sahar jagte raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.