jaan-ba-haq lafzon ka janaza
hamāre jism hangeroñ par
ma.e sales-taxes laTke hue haiñ
hamāre siyānoñ ne virāsat meñ hameñ
news anchor diye haiñ
jo hameñ koī bhī ḳhush-ḳhabarī na sunāne kī tanḳhvāh lete haiñ
aur ham rozāna shab nau baje
un kā āshīrvād le kar
bistaraoñ meñ dubak jaate haiñ
sunā hai hamārā janam puure chāñd kī raat ko huā thā
jo amāvas kī tarah siyāh thī
us raat hamārī āñkheñ scrēn par chipkā dī ga.iiñ
aur zabān remote ke buttonoñ ke biich dabā dī ga.ī
ham likhnā jānte the
ham ne apnī ungliyāñ qalam banā diiñ
aur tahrīr ko zabān de dī
lekin ek shaam breaking-news se patā chalā
ki tamām lafz ijtimā.ī ḳhud-kushī kar chuke haiñ
hamare jism hangeron par
mae sales-taxes laTke hue hain
hamare siyanon ne wirasat mein hamein
news anchor diye hain
jo hamein koi bhi KHush-KHabari na sunane ki tanKHwah lete hain
aur hum rozana shab nau baje
un ka aashirwad le kar
bistaraon mein dubak jate hain
suna hai hamara janam pure chand ki raat ko hua tha
jo amawas ki tarah siyah thi
us raat hamari aankhen screen par chipka di gain
aur zaban remote ke buttonon ke bich daba di gai
hum likhna jaante the
hum ne apni ungliyan qalam bana din
aur tahrir ko zaban de di
lekin ek sham breaking-news se pata chala
ki tamam lafz ijtimai KHud-kushi kar chuke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.