jaan pyari hai
yakā-yak uḌte uḌte
ajnabī ma.asūm sūrat ik parinda
balcony meñ rakhe pinjre ke paas aa kar
mirī mainā se sargoshī ke lahje meñ
lagā kahne
sunā tum ne
bidesī dostoñ ne tum ko ye paiġhām bhejā hai
hameñ tum se mohabbat hai
mohabbat hai hameñ sar-sabz gahrī vādiyoñ se
kohsāroñ ābshāroñ se
mohabbat hai hameñ un ham-safīroñ se
uḳhuvvat ke safīroñ se
ḳhulūs-o-mehr kī garmī liye aabī zaḳhīroñ se
ham apne des ke yaḳh-basta mausam meñ
hazāroñ miil tai kar ke
tumhāre paas aate the
ḳhushī se gungunāte raqs karte chahchahāte the
bilā-ḳhauf-o-ḳhatar uḌte uḌāte the
magar ab ham ko apnī jaan pyārī hai
yaka-yak uDte uDte
ajnabi masum surat ek parinda
balcony mein rakhe pinjre ke pas aa kar
meri maina se sargoshi ke lahje mein
laga kahne
suna tum ne
bidesi doston ne tum ko ye paigham bheja hai
hamein tum se mohabbat hai
mohabbat hai hamein sar-sabz gahri wadiyon se
kohsaron aabshaaron se
mohabbat hai hamein un ham-safiron se
uKHuwwat ke safiron se
KHulus-o-mehr ki garmi liye aabi zaKHiron se
hum apne des ke yaKH-basta mausam mein
hazaron mil tai kar ke
tumhaare pas aate the
KHushi se gungunate raqs karte chahchahate the
bila-KHauf-o-KHatar uDte uDate the
magar ab hum ko apni jaan pyari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.