jab aankh khuli meri
sūraj kā zirah-baktar
chamkā to maiñ ghabrāyā
TuuTī huī khiḌkī se
lahrātā huā neza
kauñde kī tarah aayā
maiñ dard se chillāyā
hoñToñ ne paḌhe mantar
sīmāb sī poroñ ne
ik poTlī abrak kī
chhiḌkī mire chehre par
aur kirnoñ kā ik chhīñTā
maarā mirī āñkhoñ par
āñkheñ mirī chuñdhyā.īñ
kuchh bhī na nazar aayā
jab aañkh khulī merī
dekhā ki har ik jānib
zartār sī kirnoñ kā
ik zard samundar thā
aur zard samundar meñ
chāñdī kī pahāḌī par
maiñ peḌ thā sone kā
shāḳhoñ meñ mirī har sū
jhankār thī pattoñ kī
uḌtī huī chiḌiyoñ kī
yā aag kī Daliyoñ kī
ik Daar sī aa.ī thī
aur mujh meñ samā.ī thī
qadmoñ ke tale mere
zanjīr thī lamhoñ kī
mere zirah-baktar se
jo kauñdā lapaktā thā
tāroñ ke jharokoñ tak
pal bhar meñ pahuñchtā thā
maiñ jism ke marqad se
bāhar bhī thā andar bhī
maiñ ḳhud hī pahāḌī thā
aur ḳhud hī samundar bhī
suraj ka zirah-baktar
chamka to main ghabraya
TuTi hui khiDki se
lahraata hua neza
kaunde ki tarah aaya
main dard se chillaya
honTon ne paDhe mantar
simab si poron ne
ek poTli abrak ki
chhiDki mere chehre par
aur kirnon ka ek chhinTa
mara meri aankhon par
aankhen meri chundhyain
kuchh bhi na nazar aaya
jab aankh khuli meri
dekha ki har ek jaanib
zartar si kirnon ka
ek zard samundar tha
aur zard samundar mein
chandi ki pahaDi par
main peD tha sone ka
shaKHon mein meri har su
jhankar thi patton ki
uDti hui chiDiyon ki
ya aag ki Daliyon ki
ek Dar si aai thi
aur mujh mein samai thi
qadmon ke tale mere
zanjir thi lamhon ki
mere zirah-baktar se
jo kaunda lapakta tha
taron ke jharokon tak
pal bhar mein pahunchta tha
main jism ke marqad se
bahar bhi tha andar bhi
main KHud hi pahaDi tha
aur KHud hi samundar bhi
- Book : Wazeer Aagha Ki Nazmen (Pg. 40)
- Author : Prof. Ghulam Husain
- Publication : Maktaba Urdu Zaban, Lahore (1974)
- Edition : 1974
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.