jab dua hi KHatm hai
jāgtī hai aañkh meñ ik bekalī
kaun jaane raat phir kaise Dhalī
zindagī us ḳhvāb se aage chalī
zard peḌoñ kā nagar hai sāmne
jalte pattoñ kā safar hai sāmne
ek vīrāñ rahguzar hai sāmne
vaqt jaise ruk gayā ho dahr kā
is fazā meñ zā.iqa hai zahr kā
be-gunāhoñ par hai mausam qahr kā
kyā chaleñ jab rāsta hī ḳhatm hai
sochne kā silsila hī ḳhatm hai
lab hileñ kyā jab duā hī ḳhatm hai
jagti hai aankh mein ek bekali
kaun jaane raat phir kaise Dhali
zindagi us KHwab se aage chali
zard peDon ka nagar hai samne
jalte patton ka safar hai samne
ek viran rahguzar hai samne
waqt jaise ruk gaya ho dahr ka
is faza mein zaiqa hai zahr ka
be-gunahon par hai mausam qahr ka
kya chalen jab rasta hi KHatm hai
sochne ka silsila hi KHatm hai
lab hilen kya jab dua hi KHatm hai
- Book : رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 110)
- Author : اشفاق عامر
- Publication : عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.