jab kabhi bhi fursat ho
jab kabhī bhī fursat ho
mai-kade meñ aa jaao
ham yahāñ farishtoñ ko
aadmī banāte haiñ
mausam-e-bahārāñ ho
yā fasl-e-abr-o-bārāñ ho
dhuup chilchilātī ho
yā havā ho barfīlī
saath ham-safar le kar
shoḳh ho yā sharmīlī
jab kabhī bhī fursat ho
mai-kade meñ aa jaao
ham yahāñ farishtoñ ko
aadmī banāte haiñ
bhuul kar bhī vo bastī
jis jagah siyāsat ho
bhuul kar bhī vo nagrī
jis jagah jahālat ho
laakh tum ko deñ dāvat
bhuul kar bhī mat jaanā
haañ agar mile fursat
mai-kade meñ aa jaanā
ham yahāñ farishtoñ ko
aadmī banāte haiñ
siikh aql kī bāteñ
chhoḌ sab ḳhurāfāteñ
jhuuT aur nafrat se
kab talak guzar hogī
baat sab se kar sīdhī
pyaar aur mohabbat kī
jab ḳhushī mile us se
jashn hī manāne ko
mai-kade meñ aa jaanā
ham yahāñ farishtoñ ko
aadmī banāte haiñ
zehn gar pareshāñ ho
niiñd gar nahīñ aatī
husn aur javānī bhī
gar tujhe nahīñ bhātī
gar nashe kī aadat hai
aur vo nahīñ jaatī
sun to ġhaur se bhaa.ī
kyoñ banā hai balvā.ī
gar tujhe shikāyat hai
bevafā zamāne se
ġham ġhalat hī karne ko
mai-kade meñ aa jaao
ham yahāñ farishtoñ ko
aadmī banāte haiñ
jab kabhi bhi fursat ho
mai-kade mein aa jao
hum yahan farishton ko
aadmi banate hain
mausam-e-bahaaran ho
ya fasl-e-abr-o-baran ho
dhup chilchilati ho
ya hawa ho barfili
sath ham-safar le kar
shoKH ho ya sharmili
jab kabhi bhi fursat ho
mai-kade mein aa jao
hum yahan farishton ko
aadmi banate hain
bhul kar bhi wo basti
jis jagah siyasat ho
bhul kar bhi wo nagri
jis jagah jahaalat ho
lakh tum ko den dawat
bhul kar bhi mat jaana
han agar mile fursat
mai-kade mein aa jaana
hum yahan farishton ko
aadmi banate hain
sikh aql ki baaten
chhoD sab KHurafaten
jhuT aur nafrat se
kab talak guzar hogi
baat sab se kar sidhi
pyar aur mohabbat ki
jab KHushi mile us se
jashn hi manane ko
mai-kade mein aa jaana
hum yahan farishton ko
aadmi banate hain
zehn gar pareshan ho
nind gar nahin aati
husn aur jawani bhi
gar tujhe nahin bhati
gar nashe ki aadat hai
aur wo nahin jati
sun to ghaur se bhai
kyon bana hai balwai
gar tujhe shikayat hai
bewafa zamane se
gham ghalat hi karne ko
mai-kade mein aa jao
hum yahan farishton ko
aadmi banate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.