jahan hum log rahte hain
jahāñ ham log rahte haiñ
vahāñ achchhe-bhale likhe-paḌhe hī log baste haiñ
imārat-e-ilm aur daulat kī azmat husn ko do-bālā kartī hai
tabassum muskurāhaT hi-hello aur ba-zāhir ḳhush-dilī kī bārish hotī hai
ki jis tezī se yaañ fashion badaltā hai
ġhurūr-e-husn aur
zehn-o-dil kī sāḳht bhī tabdīl hotī hai
rizālat buzdilī aur asbiyat ko yaañ
umda kapḌoñ achchhe chehroñ meñ chhupāte haiñ
magar jab gaañv jaate haiñ
vahāñ ke kachche ghar khetoñ meñ bāġhoñ meñ zarā ārām karte haiñ
uchhalte-kūdte bachchoñ ko āzādī se mard-o-zan ko hañste-bolte jab dekh aate haiñ
ki har ġham aur ḳhushī achchhe bure hālāt meñ vo sachche dil se saath rahte haiñ
na apne zāhir-o-bātin meñ koī bhed rakhte haiñ
jo nafrat hai to nafrat hai mohabbat dil se karte haiñ
ki man meñ jo bhī hotā hai zabāñ se saaf kahte haiñ
magar phir lauT kar jab shahr aate haiñ
amīroñ ālimoñ aur afsaroñ ke beach rahte haiñ
to ye mahsūs hotā hai
ki ham bīmār haiñ lāchār haiñ tanhā aur qallāsh haiñ
jahāñ ham log rahte haiñ
vahāñ saare hī aise log baste haiñ
jahan hum log rahte hain
wahan achchhe-bhale likhe-paDhe hi log baste hain
imarat-e-ilm aur daulat ki azmat husn ko do-baala karti hai
tabassum muskurahaT hi-hello aur ba-zahir KHush-dili ki barish hoti hai
ki jis tezi se yan fashion badalta hai
ghurur-e-husn aur
zehn-o-dil ki saKHt bhi tabdil hoti hai
rizalat buzdili aur asbiyat ko yan
umda kapDon achchhe chehron mein chhupate hain
magar jab ganw jate hain
wahan ke kachche ghar kheton mein baghon mein zara aaram karte hain
uchhalte-kudte bachchon ko aazadi se mard-o-zan ko hanste-bolte jab dekh aate hain
ki har gham aur KHushi achchhe bure haalat mein wo sachche dil se sath rahte hain
na apne zahir-o-baatin mein koi bhed rakhte hain
jo nafrat hai to nafrat hai mohabbat dil se karte hain
ki man mein jo bhi hota hai zaban se saf kahte hain
magar phir lauT kar jab shahr aate hain
amiron aalimon aur afsaron ke beach rahte hain
to ye mahsus hota hai
ki hum bimar hain lachaar hain tanha aur qallash hain
jahan hum log rahte hain
wahan sare hi aise log baste hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.