jalti raat sulagte sae
qatra qatra Tapak rahā hai lahū
lamha lamha pighal rahī hai hayāt
mere zaanū pe rakh ke sar apnā
ro rahī hai udaas tanhā.ī
kitnā gahrā hai dard kā rishta
kitnā taaza hai zaḳhm-e-rusvā.ī
hasratoñ ke darīda dāman meñ
jaane kab se chhupā.e baiThā huuñ
dil kī mahrūmiyoñ kā sarmāya
TūTe-phūTe sharāb ke sāġhar
mom-battī ke adh-jale TukḌe
kuchh tarāshe shikasta nazmoñ ke
uljhī uljhī udaas tahrīreñ
gard-ālūd chand tasvīreñ
mere kamre meñ aur kuchh bhī nahīñ
mere kamre meñ aur kuchh bhī nahīñ
vaqt kā jhurriyoñ bharā chehra
kāñptā hai mirī nigāhoñ meñ
kho ga.ī hai murād kī manzil
ġham kī zulmat-farosh rāhoñ meñ
mere ghar kī purānī dīvāreñ
har ghaḌī dekhtī haiñ ḳhvāb na.e
par mirī ruuh ke ḳharābe meñ
kaun aa.egā itnī raat ga.e
zindagī mehrbāñ nahīñ to phir
maut kyuuñ dard-āshnā hogī
khaTkhaTāyā hai kis ne darvāza
dekhnā sar-phirī havā hogī
qatra qatra Tapak raha hai lahu
lamha lamha pighal rahi hai hayat
mere zanu pe rakh ke sar apna
ro rahi hai udas tanhai
kitna gahra hai dard ka rishta
kitna taza hai zaKHm-e-ruswai
hasraton ke darida daman mein
jaane kab se chhupae baiTha hun
dil ki mahrumiyon ka sarmaya
TuTe-phuTe sharab ke saghar
mom-batti ke adh-jale TukDe
kuchh tarashe shikasta nazmon ke
uljhi uljhi udas tahriren
gard-alud chand taswiren
mere kamre mein aur kuchh bhi nahin
mere kamre mein aur kuchh bhi nahin
waqt ka jhurriyon bhara chehra
kanpta hai meri nigahon mein
kho gai hai murad ki manzil
gham ki zulmat-farosh rahon mein
mere ghar ki purani diwaren
har ghaDi dekhti hain KHwab nae
par meri ruh ke KHarabe mein
kaun aaega itni raat gae
zindagi mehrban nahin to phir
maut kyun dard-ashna hogi
khaTkhaTaya hai kis ne darwaza
dekhna sar-phiri hawa hogi
- Book : Khushbu Ka Khwab (Pg. 122)
- Author : Prem Warbartani
- Publication : Miss V. D. Kakkad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.