aaKHiri mulaqat
mat roko inheñ paas aane do
ye mujh se milne aa.e haiñ
maiñ ḳhud na jinheñ pahchān sakūñ
kuchh itne dhuñdle saa.e haiñ
do paañv bane hariyālī par
ek titlī baiThī Daalī par
kuchh jagmag jugnū jañgal se
kuchh jhūmte hāthī bādal se
ye ek kahānī niiñd bharī
ik taḳht pe baiThī ek parī
kuchh gin gin karte parvāne
do nanhe nanhe dastāne
kuchh uḌte rañgīñ ġhubāre
babbū ke dupaTTe ke taare
ye chehra banno būḌhī kā
ye TukḌā maañ kī chūḌī kā
ye mujh se milne aa.e haiñ
maiñ ḳhud na jinheñ pahchān sakūñ
kuchh itne dhuñdle saa.e haiñ
lasā.ī huī rut sāvan kī
kuchh sauñdhī ḳhushbū āñgan kī
kuchh TuuTī rassī jhūle kī
ik choT kasaktī kūlhe kī
sulgī sī añgīThī jāḌoñ meñ
ik chehra kitnī aaḌoñ meñ
kuchh chāñdnī rāteñ garmī kī
ik lab par bāteñ narmī kī
kuchh ruup hasīñ kāshānoñ kā
kuchh rañg hare maidānoñ kā
kuchh haar mahaktī kaliyoñ ke
kuchh naam vatan kī galiyoñ ke
mat roko inheñ paas aane do
ye mujh se milne aa.e haiñ
maiñ ḳhud na jinheñ pahchān sakūñ
kuchh itne dhuñdle saa.e haiñ
kuchh chāñd chamakte gāloñ ke
kuchh bhañvre kaale bāloñ ke
kuchh nāzuk shikneñ āñchal kī
kuchh narm lakīreñ kājal kī
ik khoī kaḌī afsānoñ kī
do āñkheñ raushan-dānoñ kī
ik surḳh dulā.ī goT lagī
kyā jaane kab kī choT lagī
ik chhallā phīkī rañgat kā
ik loket dil kī sūrat kā
rūmāl ka.ī resham se kaḌhe
vo ḳhat jo kabhī maiñ ne na paḌhe
mat roko inheñ paas aane do
ye mujh se milne aa.e haiñ
meñ ḳhud na jinheñ pahchān sakūñ
kuchh itne dhuñdle saa.e haiñ
kuchh ujḌī māñgeñ shāmoñ kī
āvāz shikasta jāmoñ kī
kuchh TukḌe ḳhālī botal ke
kuchh ghuñgrū TuuTī paa.el ke
kuchh bikhre tinke chilman ke
kuchh purze apne dāman ke
ye taare kuchh tharrā.e hue
ye giit kabhī ke gaa.e hue
kuchh sher purānī ġhazloñ ke
unvān adhūrī nazmoñ ke
TuuTī huī ik ashkoñ kī laḌī
ik ḳhushk qalam ik band ghaḌī
mat roko inheñ paas aane do
ye mujh se milne aa.e haiñ
maiñ ḳhud na jinheñ pahchān sakūñ
kuchh itne dhuñdle saa.e haiñ
kuchh rishte TuuTe TuuTe se
kuchh sāthī chhūTe chhūTe se
kuchh bigḌī bigḌī tasvīreñ
kuchh dhundlī dhundlī tahrīreñ
kuchh aañsū chhalke chhalke se
kuchh motī Dhalke Dhalke se
kuchh naqsh ye hairāñ hairāñ se
kuchh aks ye larzāñ larzāñ se
kuchh ujḌī ujḌī duniyā meñ
kuchh bhaTkī bhaTkī āshā.eñ
kuchh bikhre bikhre sapne haiñ
ye ġhair nahīñ sab apne haiñ
mat roko inheñ paas aane do
ye mujh se milne aa.e haiñ
maiñ ḳhud na jinheñ pahchān sakūñ
kuchh itne dhuñdle saa.e haiñ
mat roko inhen pas aane do
ye mujh se milne aae hain
main KHud na jinhen pahchan sakun
kuchh itne dhundle sae hain
do panw bane hariyali par
ek titli baiThi Dali par
kuchh jagmag jugnu jangal se
kuchh jhumte hathi baadal se
ye ek kahani nind bhari
ek taKHt pe baiThi ek pari
kuchh gin gin karte parwane
do nanhe nanhe dastane
kuchh uDte rangin ghubare
babbu ke dupaTTe ke tare
ye chehra banno buDhi ka
ye TukDa man ki chuDi ka
ye mujh se milne aae hain
main KHud na jinhen pahchan sakun
kuchh itne dhundle sae hain
lasai hui rut sawan ki
kuchh saundhi KHushbu aangan ki
kuchh TuTi rassi jhule ki
ek choT kasakti kulhe ki
sulgi si angiThi jaDon mein
ek chehra kitni aaDon mein
kuchh chandni raaten garmi ki
ek lab par baaten narmi ki
kuchh rup hasin kashanon ka
kuchh rang hare maidanon ka
kuchh haar mahakti kaliyon ke
kuchh nam watan ki galiyon ke
mat roko inhen pas aane do
ye mujh se milne aae hain
main KHud na jinhen pahchan sakun
kuchh itne dhundle sae hain
kuchh chand chamakte galon ke
kuchh bhanwre kale baalon ke
kuchh nazuk shiknen aanchal ki
kuchh narm lakiren kajal ki
ek khoi kaDi afsanon ki
do aankhen raushan-danon ki
ek surKH dulai goT lagi
kya jaane kab ki choT lagi
ek chhalla phiki rangat ka
ek loket dil ki surat ka
rumal kai resham se kaDhe
wo KHat jo kabhi main ne na paDhe
mat roko inhen pas aane do
ye mujh se milne aae hain
mein KHud na jinhen pahchan sakun
kuchh itne dhundle sae hain
kuchh ujDi mangen shamon ki
aawaz shikasta jamon ki
kuchh TukDe KHali botal ke
kuchh ghungru TuTi pael ke
kuchh bikhre tinke chilman ke
kuchh purze apne daman ke
ye tare kuchh tharrae hue
ye git kabhi ke gae hue
kuchh sher purani ghazlon ke
unwan adhuri nazmon ke
TuTi hui ek ashkon ki laDi
ek KHushk qalam ek band ghaDi
mat roko inhen pas aane do
ye mujh se milne aae hain
main KHud na jinhen pahchan sakun
kuchh itne dhundle sae hain
kuchh rishte TuTe TuTe se
kuchh sathi chhuTe chhuTe se
kuchh bigDi bigDi taswiren
kuchh dhundli dhundli tahriren
kuchh aansu chhalke chhalke se
kuchh moti Dhalke Dhalke se
kuchh naqsh ye hairan hairan se
kuchh aks ye larzan larzan se
kuchh ujDi ujDi duniya mein
kuchh bhaTki bhaTki aashaen
kuchh bikhre bikhre sapne hain
ye ghair nahin sab apne hain
mat roko inhen pas aane do
ye mujh se milne aae hain
main KHud na jinhen pahchan sakun
kuchh itne dhundle sae hain
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 80)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.