jangal hum aur kale baadal
aayā ik havā kā jhoñkā
yādeñ bahut sī le aayā
raat ke sannāTe kī ḳhushbū
ujlī sub.h kī chahkāreñ
sabz mulā.em pattoñ vaale bhīge tanoñ kā taaza lams
ūñche ghane jañgal ke andar
saañp se bal khāte rastoñ par
hoñToñ pe āñkhoñ meñ sajā.e
jhijak ḳhalish kī titlī ko
merā us kā tanhā saaya
vo lamha bhī yaad aayā jab
ham jaise hī bhūle-bhaTke
kaale mast siyah bādal
dhartī se milne kī ḳhātir
baras paḌe the peḌoñ par
phir kaisī saa.at thī aa.ī
ḳhauf na thā gum hone kā
tanhā tanhā chalne kā
jañgal meñ kho jaane kā
aaya ek hawa ka jhonka
yaaden bahut si le aaya
raat ke sannaTe ki KHushbu
ujli subh ki chahkaren
sabz mulaem patton wale bhige tanon ka taza lams
unche ghane jangal ke andar
sanp se bal khate raston par
honTon pe aankhon mein sajae
jhijak KHalish ki titli ko
mera us ka tanha saya
wo lamha bhi yaad aaya jab
hum jaise hi bhule-bhaTke
kale mast siyah baadal
dharti se milne ki KHatir
baras paDe the peDon par
phir kaisi saat thi aai
KHauf na tha gum hone ka
tanha tanha chalne ka
jangal mein kho jaane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.