Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jangal ka aadmi

Shakeel Azmi

jangal ka aadmi

Shakeel Azmi

MORE BYShakeel Azmi

    ākāsh rahā chhappar merā

    ye dhartī thī bistar merā

    sūraj ko ḳhudā banāyā thā

    ik nuur usī se paayā thā

    patthar se aag jalā.ī thī

    lakḌī se naav banā.ī thī

    sar par do siiñg sañvāre the

    tīroñ se darinde maare the

    poshāk bunī thī pattoñ se

    rishta thā 'ajab daraḳhtoñ se

    phal saare mirī ġhizā.eñ the

    gul-būTe mirī davā.eñ the

    garmī se tan ko Dhāñpā thā

    sardī ko jalā kar taapā thā

    bādal barse to bhiig gayā

    jab dhuup khilī to suukh gayā

    maiñ chhatrī ke bin chaltā thā

    mausam ke saath badaltā thā

    jab maiñ jangal meñ rahtā thā

    aakash raha chhappar mera

    ye dharti thi bistar mera

    suraj ko KHuda banaya tha

    ek nur usi se paya tha

    patthar se aag jalai thi

    lakDi se naw banai thi

    sar par do sing sanware the

    tiron se darinde mare the

    poshak buni thi patton se

    rishta tha 'ajab daraKHton se

    phal sare meri ghizaen the

    gul-buTe meri dawaen the

    garmi se tan ko Dhanpa tha

    sardi ko jala kar tapa tha

    baadal barse to bhig gaya

    jab dhup khili to sukh gaya

    main chhatri ke bin chalta tha

    mausam ke sath badalta tha

    jab main jangal mein rahta tha

    Source :
    • Book : Dil Parinda Hai (Pg. 121)
    • Author :Shakeel Azmi
    • Publication : Rekhta Publications (2023)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now