jangal kaTte jate hain
jangal kaTte jaate haiñ
sher bahut ghabrāte haiñ
pūñchh uThā.e phirte haiñ
har aahaT pe Darte haiñ
kyā jaane kab peḌ kaTe
kyā jaane kab shāḳh gire
chiḌiyāñ uḌ kar chalī ga.iiñ
bachche chhūTe yahīñ kahīñ
hāthī ko ye fikr huī
churā na le tālāb koī
tab vo kahāñ nahā.egā
kaise pyaas bujhā.egā
bhālū bhī ḳhāmosh huā
gīdaḌ ko afsos huā
jab dekho tab ādam-zād
jangal kaaT ke ho gayā shaad
har dam haath meñ aarī hai
ye kaisī bīmārī hai
peḌ agar kaT jā.eñge
chhāñv kahāñ se pā.eñge
ghir ghir bādal ā.eñge
bin barse uḌ jā.eñge
miTTī Dhīlī huī agar
nadī chalegī idhar udhar
ghar ke ghar Dheh jā.eñge
ham kaise rah pā.eñge
peḌ kaTe aur peḌ lage
tab jā ke sansār bache
jangal kaTte jate hain
sher bahut ghabraate hain
punchh uThae phirte hain
har aahaT pe Darte hain
kya jaane kab peD kaTe
kya jaane kab shaKH gire
chiDiyan uD kar chali gain
bachche chhuTe yahin kahin
hathi ko ye fikr hui
chura na le talab koi
tab wo kahan nahaega
kaise pyas bujhaega
bhaalu bhi KHamosh hua
gidaD ko afsos hua
jab dekho tab aadam-zad
jangal kaT ke ho gaya shad
har dam hath mein aari hai
ye kaisi bimari hai
peD agar kaT jaenge
chhanw kahan se paenge
ghir ghir baadal aaenge
bin barse uD jaenge
miTTi Dhili hui agar
nadi chalegi idhar udhar
ghar ke ghar Dheh jaenge
hum kaise rah paenge
peD kaTe aur peD lage
tab ja ke sansar bache
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.