jangal
ziist kī tang pechīda rāhoñ pe
chalte hue
aise pur-haul jangal meñ ham kis tarah aa ga.e
saḳht sūkhī zamīñ par
daraḳhtoñ ke bojhal tane
tund-ḳhū aur vahshī darindoñ kī mānind
panje jamā.e khaḌe haiñ
un kī sūkhī huī zard shāḳhoñ
insānoñ ke haath paañv
kaTe sar
kaTe jism
baazū
bāzuoñ aur Tāñgoñ se mahrūm dhaḌ
naak naqshe se mahrūm chehre
har ik samt laTke hue haiñ
rāste muntashir
pur-ḳhatar rāste
ek mub.ham añdhere meñ gum haiñ
aur un rāstoñ meñ
ka.ī uñgliyāñ
kaan
uljhe hue baal
vīrān āñkheñ
chhide hoñT
har samt bikhre hue haiñ
zaḳhm-ḳhurda bhaTakte qadam
ḳhud-baḳhud ruk ga.e haiñ
koī insān mujh ko mile magar
to pūchhūñ ki kyā maiñ abhī tak
vahī sho.ala-andām sīmāb-pā
zauq-e-hastī se betāb dard-āshnā
ek insān huuñ
yā faqat koī TuuTā huā haath
baazū
koī naak naqshe se mahrūm chehra huuñ maiñ
aur yuuñ
saḳht shāḳhoñ se laTkī huī huuñ
koī sarshār jazboñ kī jū-e-ravāñ ho
to dekhūñ
ki kyā merī āñkhoñ kī gahrā.iyoñ meñ
abhī tak vahī jur.at-e-dīd hai
rif.at-e-zauq-e-parvāz hai
aur kyā mere a.azā ke ḳham
aur mere ḳhad-o-ḳhāl abhī
zindagī kī sarāhat ke ġhammāz haiñ
lazzat-e-āgahī ke amiiñ haiñ
yā ki ab maiñ bhī bas
kuchh kaTe kaan
vīrān āñkheñ
chhide hoñT
bikhre hue baal huuñ
aur yuuñ
nīm-tārīk gumnām rāhoñ meñ
bikhrī huī huuñ
zist ki tang pechida rahon pe
chalte hue
aise pur-haul jangal mein hum kis tarah aa gae
saKHt sukhi zamin par
daraKHton ke bojhal tane
tund-KHu aur wahshi darindon ki manind
panje jamae khaDe hain
un ki sukhi hui zard shaKHon
insanon ke hath panw
kaTe sar
kaTe jism
bazu
bazuon aur Tangon se mahrum dhaD
nak naqshe se mahrum chehre
har ek samt laTke hue hain
raste muntashir
pur-KHatar raste
ek mubham andhere mein gum hain
aur un raston mein
kai ungliyan
kan
uljhe hue baal
viran aankhen
chhide honT
har samt bikhre hue hain
zaKHm-KHurda bhaTakte qadam
KHud-baKHud ruk gae hain
koi insan mujh ko mile magar
to puchhun ki kya main abhi tak
wahi shoala-andam simab-pa
zauq-e-hasti se betab dard-ashna
ek insan hun
ya faqat koi TuTa hua hath
bazu
koi nak naqshe se mahrum chehra hun main
aur yun
saKHt shaKHon se laTki hui hun
koi sarshaar jazbon ki ju-e-rawan ho
to dekhun
ki kya meri aankhon ki gahraiyon mein
abhi tak wahi jurat-e-did hai
rifat-e-zauq-e-parwaz hai
aur kya mere aaza ke KHam
aur mere KHad-o-KHal abhi
zindagi ki sarahat ke ghammaz hain
lazzat-e-agahi ke amin hain
ya ki ab main bhi bas
kuchh kaTe kan
viran aankhen
chhide honT
bikhre hue baal hun
aur yun
nim-tarik gumnam rahon mein
bikhri hui hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.