jangali nach
jañgalī libās meñ ek paikar-e-gudāz
chal rahā hai jhāḌiyoñ meñ saañp jhuum jhuum kar
uḌ rahā hai mor apne baal chuum chuum kar
jhiil māñgne lagī shaam kī havā se saaz
ek baar tiin baar
dast-e-sandalī uThe
paañv lahar khā ga.e
jism-e-nāz ke sharār
jhiil ke kināre mast ho ke nāchne lage
jañgalī javān shaam ko sukūn pā ga.e
jhoñpaḌoñ se apne apne saaz le ke aa ga.e
āsmāñ se chāñd aur sitāre jhāñkne lage
chāñdnī meñ jaag uThī
so rahī thī sub.h se
bol kaise ḳhvāb the?
mere ''budh'' kī mūrtī
jhāḌiyoñ se surḳh zard phuul toḌ toḌ kar
ek baar tiin baar aur ab to bār-bār
mūrtī pe jañgalī hasīna kartī hai nisār
chashm o lab ke raqs par haath moḌ moḌ kar
raqs kī sharāb meñ
mor mast ho gayā
saañp jaise so gayā
aks-e-māhtāb meñ
ek paikar-e-gudāz aur nāchne lagā
Dholakoñ kī mast chīḳh aur tez ho ga.ī
jañgalī hasīna aur sho.ala-rez ho ga.ī
mūrtī kā devtā ḳhud hī muskurā uThā
aur jaise chauñk kar
raqs band ho gayā
kis qadar ġhurūr thā
kāmyāb raqs par
jangali libas mein ek paikar-e-gudaz
chal raha hai jhaDiyon mein sanp jhum jhum kar
uD raha hai mor apne baal chum chum kar
jhil mangne lagi sham ki hawa se saz
ek bar tin bar
dast-e-sandali uThe
panw lahar kha gae
jism-e-naz ke sharar
jhil ke kinare mast ho ke nachne lage
jangali jawan sham ko sukun pa gae
jhonpaDon se apne apne saz le ke aa gae
aasman se chand aur sitare jhankne lage
chandni mein jag uThi
so rahi thi subh se
bol kaise KHwab the?
mere budh ki murti
jhaDiyon se surKH zard phul toD toD kar
ek bar tin bar aur ab to bar-bar
murti pe jangali hasina karti hai nisar
chashm o lab ke raqs par hath moD moD kar
raqs ki sharab mein
mor mast ho gaya
sanp jaise so gaya
aks-e-mahtab mein
ek paikar-e-gudaz aur nachne laga
Dholakon ki mast chiKH aur tez ho gai
jangali hasina aur shoala-rez ho gai
murti ka dewta KHud hi muskura uTha
aur jaise chaunk kar
raqs band ho gaya
kis qadar ghurur tha
kaamyab raqs par
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 100)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.