jangalon ki hawa
vaqt-e-ruḳhsat udaas aur maġhmūm āvāz meñ
us ne mujh se kahā thā
tumheñ ḳhūbsūrat hasīñ dostoñ kī
rifāqat mayassar hai maiñ kaun huuñ
merī qurbat kī har aarzū
sirf jazb-e-pareshāñ hai ik roz āḳhir mujhe bhuul jāoge tum
mujhe yaad karnā bhī chāhoge shāyad magar kar na pāoge tum
kal kī lagtī hai barsoñ purānī ye be-nām sī dāstāñ
mujhe ḳhūbsūrat hasīñ dostoñ kī
rifāqat mayassar hai maiñ roz-o-shab
chachahātā huuñ bātoñ ke jangal ugātā huuñ jin meñ mujhe
mere dushman mire ḳhuuñ ke pyāse ka.ī jangalī jānvar DhūñDte haiñ
jū-e-yād-e-hasīñ kī ravānī meñ koī sulagtā huā aks hai
vo mujhe apnī jānib
ishāroñ se aksar bulātā hai
mānūs hai garche lekin mirā kaun hai
aaj tahlīl hotā huuñ aks-e-ravāñ meñ
tire jism meñ
jangaloñ kī havā
chīḳhtī hai musalsal mire jism meñ
waqt-e-ruKHsat udas aur maghmum aawaz mein
us ne mujh se kaha tha
tumhein KHubsurat hasin doston ki
rifaqat mayassar hai main kaun hun
meri qurbat ki har aarzu
sirf jazb-e-pareshan hai ek roz aaKHir mujhe bhul jaoge tum
mujhe yaad karna bhi chahoge shayad magar kar na paoge tum
kal ki lagti hai barson purani ye be-nam si dastan
mujhe KHubsurat hasin doston ki
rifaqat mayassar hai main roz-o-shab
chachahata hun baaton ke jangal ugata hun jin mein mujhe
mere dushman mere KHun ke pyase kai jangali jaanwar DhunDte hain
ju-e-yaad-e-hasin ki rawani mein koi sulagta hua aks hai
wo mujhe apni jaanib
ishaaron se aksar bulata hai
manus hai garche lekin mera kaun hai
aaj tahlil hota hun aks-e-rawan mein
tere jism mein
jangalon ki hawa
chiKHti hai musalsal mere jism mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.