jashn-e-sal-e-nau
jashn-e-nau-sāl manā.ūñ to manā.ūñ kyūñkar
aur naġhmāt-e-ḳhushī gā.ūñ to gā.ūñ kyūñkar
kyā nahīñ degā ye ġham sāl-e-guzishta kī tarah
phir ise apne gale se maiñ lagā.ūñ kyūñkar
ye nayā saal bhī kyā degā batātā huuñ tumheñ
is ke mansūboñ kā afsāna sunātā huuñ tumheñ
is ne baḳhshe the jo tohfe kī tarah pichhle baras
dekhnā chāho to vo zaḳhm dikhātā huuñ tumheñ
kuchh ḳhushī degā na ḳhushiyoñ kī gavāhī degā
ye nayā saal bhī duniyā ko tabāhī degā
raushnī kī koī ummīd na rakhnā is se
zulmat-e-shab ko ye kuchh aur siyāhī degā
jashn-e-nau-sal manaun to manaun kyunkar
aur naghmat-e-KHushi gaun to gaun kyunkar
kya nahin dega ye gham sal-e-guzishta ki tarah
phir ise apne gale se main lagaun kyunkar
ye naya sal bhi kya dega batata hun tumhein
is ke mansubon ka afsana sunata hun tumhein
is ne baKHshe the jo tohfe ki tarah pichhle baras
dekhna chaho to wo zaKHm dikhata hun tumhein
kuchh KHushi dega na KHushiyon ki gawahi dega
ye naya sal bhi duniya ko tabahi dega
raushni ki koi ummid na rakhna is se
zulmat-e-shab ko ye kuchh aur siyahi dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.