jashn-e-tanhai
sunā hai
phir aaj
rat-jagā hai
ki aa ga.ī hai
phir ek lamha meñ jīne-marne kī
sadiyoñ par muhīt saa.at
vo
ḳhvāb ke jāgte nagar meñ
ravish ravish
chāñdnī bichhā.e
añdhere kamre ke
sab darīchoñ meñ
intizār kī mish.aleñ jalā.e
vo niiñd se duur
an-ginat be-shumār rāteñ
salīb ehsās kī uThā.e
vo an-kahī an-sunī
kahānī ke saare kirdār haath phailā.e
alaav ke gird
phir khaḌe haiñ
qatār bāñdhe
ishāra milne ke muntazir haiñ
ki
ḳhvāb kī sar-zamīn
kab qatl-gāh hogī
ye ek lamha meñ jīne-marne kī
sadiyoñ par muhīt saa.at
na jaane ab kis kī bheñT legī
ki koī zī-rūh
ḳhvāhishoñ ke ujaaḌ jañgal meñ
ab nahīñ hai
suna hai
phir aaj
rat-jaga hai
ki aa gai hai
phir ek lamha mein jine-marne ki
sadiyon par muhit saat
wo
KHwab ke jagte nagar mein
rawish rawish
chandni bichhae
andhere kamre ke
sab darichon mein
intizar ki mishalen jalae
wo nind se dur
an-ginat be-shumar raaten
salib ehsas ki uThae
wo an-kahi an-suni
kahani ke sare kirdar hath phailae
alaw ke gird
phir khaDe hain
qatar bandhe
ishaara milne ke muntazir hain
ki
KHwab ki sar-zamin
kab qatl-gah hogi
ye ek lamha mein jine-marne ki
sadiyon par muhit saat
na jaane ab kis ki bhenT legi
ki koi zi-ruh
KHwahishon ke ujaD jangal mein
ab nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.