jawahar-lal uniwersity ke talaba ke liye
hameñ ek din ḳhatm karnā paḌegā
hamāre diloñ meñ jo kuchh fāsla hai
hameñ dhuup meñ ḳhuub chalnā paḌegā
mohabbat kā bas ek hī rāsta hai
ham insān haiñ aur insāñ raheñge
jo haivān haiñ ek din tañg aa kar
chale jā.eñge apne jañgal meñ vāpas
jahāñ vo raheñge vahīñ laḌ mareñge
jo baaqī bacheñge vo shahroñ meñ aa kar
gharoñ ko jalāne kī koshish kareñge
javānoñ ko khāne kī koshish kareñge
vo college se jaatī huī laḌkiyoñ ko
añdhere meñ laane kī koshish kareñge
ham insān haiñ aur insāñ kī izzat
hamesha bachāne kī koshish kareñge
hameñ koī ashlok aatā nahīñ hai
suvāmī kā tirshūl bhātā nahīñ hai
hamārī kavītā, hamārī kathā hai
hamārī kitābeñ hamārā jathā hai
agar koī dīmak hamārā asāsa
miTāne kī aashā liye aa rahī hai
vo ye jaan le ki hamāre diloñ meñ
mohabbat kī lau jagmagāne lagī hai
hameñ apne sīnoñ kī sīḌhī banā ke
kisī raat ambar pe jaanā paḌegā
diye kī jagah phuul rakhne paḌeñge
parindoñ ke hamrāh gaanā paḌegā
hamein ek din KHatm karna paDega
hamare dilon mein jo kuchh fasla hai
hamein dhup mein KHub chalna paDega
mohabbat ka bas ek hi rasta hai
hum insan hain aur insan rahenge
jo haiwan hain ek din tang aa kar
chale jaenge apne jangal mein wapas
jahan wo rahenge wahin laD marenge
jo baqi bachenge wo shahron mein aa kar
gharon ko jalane ki koshish karenge
jawanon ko khane ki koshish karenge
wo college se jati hui laDkiyon ko
andhere mein lane ki koshish karenge
hum insan hain aur insan ki izzat
hamesha bachane ki koshish karenge
hamein koi ashlok aata nahin hai
suwami ka tirshul bhata nahin hai
hamari kawita, hamari katha hai
hamari kitaben hamara jatha hai
agar koi dimak hamara asasa
miTane ki aasha liye aa rahi hai
wo ye jaan le ki hamare dilon mein
mohabbat ki lau jagmagane lagi hai
hamein apne sinon ki siDhi bana ke
kisi raat ambar pe jaana paDega
diye ki jagah phul rakhne paDenge
parindon ke hamrah gana paDega
- Book : saarii nazmen (Pg. 538)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.