jazbaat nafsiyat se baala-tar hain
yādoñ ke hisār meñ jakḌe vajūd pe
shab ne āḳhirī dastak dī
aañkh ke sātveñ parde pe ik aks
musalsal tair rahā hai
jis ke baa.is
niiñd ko izn-e-hāzirī nahīñ milā
hamārī bātoñ ke saare sur sunñe vaalā
niim kā daraḳht
aur añgūThī meñ jaḌā aqiiq
ek jaise haiñ
dil pe iztirārī kaifiyat taarī hai
dimāġh tavīl masāfat kī jānib gāmzan hai
be-ḳhayālī meñ
ham saarā din ik dūsre ke
nāmoñ meñ sabz rang bharte haiñ
is surḳh dā.ere meñ
chhupe raaz ko jānñe pe kaam jaarī hai
Dhaltī shaam ke saa.e se mere ufuq
siyāh hone lage
jazboñ kī sadāqat kā dā.era
jab mukammal huā to
lams kā rang banñe lagā
mirī zaat ke madār meñ ik naam kā raqs jaarī hai
siyāh gulāb ke jazbāt kī akkāsī
ilm-e-nafsiyāt se bālā-tar hai
yaadon ke hisar mein jakDe wajud pe
shab ne aaKHiri dastak di
aankh ke satwen parde pe ek aks
musalsal tair raha hai
jis ke bais
nind ko izn-e-haziri nahin mila
hamari baaton ke sare sur sunne wala
nim ka daraKHt
aur anguThi mein jaDa aqiq
ek jaise hain
dil pe iztirari kaifiyat tari hai
dimagh tawil masafat ki jaanib gamzan hai
be-KHayali mein
hum sara din ek dusre ke
namon mein sabz rang bharte hain
is surKH daere mein
chhupe raaz ko jaanne pe kaam jari hai
Dhalti sham ke sae se mere ufuq
siyah hone lage
jazbon ki sadaqat ka daera
jab mukammal hua to
lams ka rang banne laga
meri zat ke madar mein ek nam ka raqs jari hai
siyah gulab ke jazbaat ki akkasi
ilm-e-nafsiyat se baala-tar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.