jhansi ki rani
hind maatā kī ek beTī
naam thā jis kā laxmī-bā.ī
ruup meñ zan ke vo thī ik shamshīr
barq kī tarh kaundī lahrā.ī
us ne dushman pe aag barsā.ī
zindagī kar dī apnī nazr-e-vatan
sho’la-e-inqilāb thī goyā
garmī-e-āftāb thī goyā
nuz.hat-e-māhtāb thī goyā
aap apnā javāb thī goyā
hind mata ki ek beTi
nam tha jis ka laxmi-bai
rup mein zan ke wo thi ek shamshir
barq ki tarh kaundi lahrai
us ne dushman pe aag barsai
zindagi kar di apni nazr-e-watan
sho’la-e-inqilab thi goya
garmi-e-aftab thi goya
nuzhat-e-mahtab thi goya
aap apna jawab thi goya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.