jhuT ka natija
ahmad bablū baabū salmā
ek jamā.at ke ye bachche
aḳhlāqī ghanTe meñ dekho
jam.a hue haiñ ik ik kar ke
nazm-o-zabt jamā.at meñ thā
uf nahīñ kartā thā koī bachcha
ye jo kahānī kā thā ghanTa
sab ko shauq kahānī kā thā
dekho class meñ ustād aa.e
uTh ke khaḌe hue saare bachche
sab ne kiyā salām ab un ko
bachche the sab man ke achchhe
ham āvāz thā har ik bachcha
ham haiñ kahānī ke sab shaidā
sab ne mil kar kiyā taqāzā
ham ko sunā.iye achchhā qissa
sun kar bachchoñ se ye bāteñ
ho ga.e ḳhush ustād usī dam
munnū chunnū mannū ḳhush the
qābil-e-dīd hai shauq kā aalam
teacher ne jo chheḌī kahānī
bachche hama-tan gosh hue sab
ḳhāmoshī thī har chehre par
sab se kahā ye teacher ne ab
ek pahāḌī ke dāman meñ
qarya ik shādāb thā bachcho
gaañv meñ ik charvāhā bhī thā
haañ vo bahut nādān thā pyāro
roz pahāḌī par vo jaatā
bakriyāñ apnī ḳhud hī charātā
din bhar hāñktā vo gale ko
shaam Dhale ghar vāpas aatā
ik din us ko sūjhī sharārat
rah rah kar us ne chillāyā
logo aao mujh ko bachāo
sher ne bolā hai ab dhāvā
laTThe bhāle barchhiyāñ le kar
bhāge aa.e log barābar
paayā salāmat charvāhe ko
kahne lagā charvāhā hañs kar
sher yahāñ aayā nahīñ koī
yuuñ hī sharārat maiñ ne kī thī
shukriya aap yahāñ sab aa.e
aap kī hamdardī hai sachchī
maiñ ne sab ko yuuñ hī parkhā
imtihāñ aap kī chāhat kā thā
ḳhush huuñ aap kī hamdardī par
maiñ ne pyaar sabhoñ kā paayā
thā ye kartab charvāhe kā
us ne ullū sab ko banāyā
māyūsī ke saath vo lauTe
jhūTā charvāhe ko paayā
izzat charvāhe ne gañvā.ī
ab ke muñh kī us ne khaa.ī
charvāhe kī nādānī par
dī qarye vāloñ ne dahā.ī
hariyālī kā mausam aayā
ġhalle ne bhī chārā paayā
thā masrūr bahut charvāhā
us ne ḳhushī kā naġhma gaayā
us ne ab manzar ye dekhā
sher hai ġhalle meñ aa dhamkā
ghabrā kar phir vo chillāyā
dekho sher ne kar diyā hamla
gaañv meñ chīḳheñ sunīñ logoñ ne
ek mazāq use sab samjhe
aayā na koī us kī madad ko
paḌ ga.e jaan ke laale dekho
sher kā ban gayā bachcho nivāla
charvāhe kā saarā gila
phir charvāhe par huā jo hamla
ḳhātma ho gayā charvāhe kā
shab kā huā gahrā sannāTā
charvāhā ab ghar nahīñ aayā
us kī maañ bahneñ thiiñ pareshāñ
baḌh gayā un par ḳhauf kā saaya
dūsre din kā sūraj niklā
gaañv meñ charvāhe kā thā charchā
sab ne pahāḌī par jā dekhā
ġham thā patā ab charvāhe kā
qissa ḳhatm huā ye bachcho
tum ho kyuuñ ġhamgīñ ye bolo
charvāhe kī fikr ko chhoḌo
charvāhe se sabaq ye sīkho
jhuuT se jaan ga.ī thī us kī
baat hamesha kahnā sachchī
maano jhuuT balā hai bachcho
us se hamesha bach kar rahiyo
jhuuT se jaan bhī jā saktī hai
jhuuT to ik andhī shaktī hai
jhuuT gunāh hai jaano bachcho
dozaḳh miltī hai jhūToñ ko pyāro
chhoḌo sharārat saarī chhoḌo
sachchā.ī ko bas apnāo
ahmad bablu babu salma
ek jamaat ke ye bachche
aKHlaqi ghanTe mein dekho
jama hue hain ek ek kar ke
nazm-o-zabt jamaat mein tha
uf nahin karta tha koi bachcha
ye jo kahani ka tha ghanTa
sab ko shauq kahani ka tha
dekho class mein ustad aae
uTh ke khaDe hue sare bachche
sab ne kiya salam ab un ko
bachche the sab man ke achchhe
hum aawaz tha har ek bachcha
hum hain kahani ke sab shaida
sab ne mil kar kiya taqaza
hum ko sunaiye achchha qissa
sun kar bachchon se ye baaten
ho gae KHush ustad usi dam
munnu chunnu mannu KHush the
qabil-e-did hai shauq ka aalam
teacher ne jo chheDi kahani
bachche hama-tan gosh hue sab
KHamoshi thi har chehre par
sab se kaha ye teacher ne ab
ek pahaDi ke daman mein
qarya ek shadab tha bachcho
ganw mein ek charwaha bhi tha
han wo bahut nadan tha pyaro
roz pahaDi par wo jata
bakriyan apni KHud hi charaata
din bhar hankta wo gale ko
sham Dhale ghar wapas aata
ek din us ko sujhi shararat
rah rah kar us ne chillaya
logo aao mujh ko bachao
sher ne bola hai ab dhawa
laTThe bhaale barchhiyan le kar
bhage aae log barabar
paya salamat charwahe ko
kahne laga charwaha hans kar
sher yahan aaya nahin koi
yun hi shararat main ne ki thi
shukriya aap yahan sab aae
aap ki hamdardi hai sachchi
main ne sab ko yun hi parkha
imtihan aap ki chahat ka tha
KHush hun aap ki hamdardi par
main ne pyar sabhon ka paya
tha ye kartab charwahe ka
us ne ullu sab ko banaya
mayusi ke sath wo lauTe
jhuTa charwahe ko paya
izzat charwahe ne ganwai
ab ke munh ki us ne khai
charwahe ki nadani par
di qarye walon ne dahai
hariyali ka mausam aaya
ghalle ne bhi chaara paya
tha masrur bahut charwaha
us ne KHushi ka naghma gaya
us ne ab manzar ye dekha
sher hai ghalle mein aa dhamka
ghabra kar phir wo chillaya
dekho sher ne kar diya hamla
ganw mein chiKHen sunin logon ne
ek mazaq use sab samjhe
aaya na koi us ki madad ko
paD gae jaan ke lale dekho
sher ka ban gaya bachcho niwala
charwahe ka sara gila
phir charwahe par hua jo hamla
KHatma ho gaya charwahe ka
shab ka hua gahra sannaTa
charwaha ab ghar nahin aaya
us ki man bahnen thin pareshan
baDh gaya un par KHauf ka saya
dusre din ka suraj nikla
ganw mein charwahe ka tha charcha
sab ne pahaDi par ja dekha
gham tha pata ab charwahe ka
qissa KHatm hua ye bachcho
tum ho kyun ghamgin ye bolo
charwahe ki fikr ko chhoDo
charwahe se sabaq ye sikho
jhuT se jaan gai thi us ki
baat hamesha kahna sachchi
mano jhuT bala hai bachcho
us se hamesha bach kar rahiyo
jhuT se jaan bhi ja sakti hai
jhuT to ek andhi shakti hai
jhuT gunah hai jaano bachcho
dozaKH milti hai jhuTon ko pyaro
chhoDo shararat sari chhoDo
sachchai ko bas apnao
- Book : Gagar me.n Sagar (Pg. 19)
- Author : Gagar me.n Sagar
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.