jin raaton mein nind na aae
jin rātoñ meñ niiñd na aa.e
terā jāgne vaalā āḳhir
kin bātoñ se jī bahlā.e
kitne achchhe log the vo bhī
aisī judā.ī kī ghaḌiyoñ meñ
taare ginte rahte the
jo ik jhūThe vā'de par bhī
jaane kaise khulā rakhte the
apne ghar kā darvāza
sub.h talak aane vaale kī
rāheñ dekhā karte the
apne dil kī tanhā.ī ko
chand adhūre sapnoñ se hī
vo ābād kiye rakhte the
un ke birhā ke gītoñ meñ
jhilmil aañsū ke parde meñ
mīThe paanī kā chashma bhī
dhīre dhīre bahtā thā
tere ik jaane par lekin
merā ye kyā haal huā hai
apne aap se maiñ rūThā huuñ
merā dil ḳhud mujh se ḳhafā hai
mere kaan bhī merī bāteñ
mujh se aaj nahīñ sunte haiñ
ghar meñ itnī tārīkī hai
āñkheñ saath nahīñ detī haiñ
saare rauzan saare darīche
sab darvāze band paḌe haiñ
jin raaton mein nind na aae
tera jagne wala aaKHir
kin baaton se ji bahlae
kitne achchhe log the wo bhi
aisi judai ki ghaDiyon mein
tare ginte rahte the
jo ek jhuThe wa'de par bhi
jaane kaise khula rakhte the
apne ghar ka darwaza
subh talak aane wale ki
rahen dekha karte the
apne dil ki tanhai ko
chand adhure sapnon se hi
wo aabaad kiye rakhte the
un ke birha ke giton mein
jhilmil aansu ke parde mein
miThe pani ka chashma bhi
dhire dhire bahta tha
tere ek jaane par lekin
mera ye kya haal hua hai
apne aap se main ruTha hun
mera dil KHud mujh se KHafa hai
mere kan bhi meri baaten
mujh se aaj nahin sunte hain
ghar mein itni tariki hai
aankhen sath nahin deti hain
sare rauzan sare dariche
sab darwaze band paDe hain
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 126)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.