jism ke sath aaKHiri lamhe
chalo chhuTTī milī āḳhir
subuk-dosh ho ga.ī maiñ pahre-dārī se
ik aise jism kī
jo itnā nāzuk thā
ki us kī uñgliyāñ phal kāTne vaalā
koī chāqū bhī ghāyal kartā rahtā thā
havā kam ho to jis kī naak se ḳhuuñ bahne lagtā thā
vo jis ke pair thoḌī sī thakan se suuj jaate the
ye mere āḳhirī lamhe haiñ apne jism ke saath
bas ik taḳhta
aur us ke baa'd maiñ āzād huuñ sair-e-falak ko
sukūñ dil meñ liye is baat kā
ki mere jism ko apnī hī maut aa.ī
vo haarā bhī to sirf aur sirf apnī 'umr se
aur ruuh yuuñ bhī
'umr ko gintī nahīñ hai
dushmanoñ meñ jism ke
chalo chhuTTi mili aaKHir
subuk-dosh ho gai main pahre-dari se
ek aise jism ki
jo itna nazuk tha
ki us ki ungliyan phal kaTne wala
koi chaqu bhi ghayal karta rahta tha
hawa kam ho to jis ki nak se KHun bahne lagta tha
wo jis ke pair thoDi si thakan se suj jate the
ye mere aaKHiri lamhe hain apne jism ke sath
bas ek taKHta
aur us ke ba'd main aazad hun sair-e-falak ko
sukun dil mein liye is baat ka
ki mere jism ko apni hi maut aai
wo haara bhi to sirf aur sirf apni 'umr se
aur ruh yun bhi
'umr ko ginti nahin hai
dushmanon mein jism ke
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 135)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.