jism ki aag
mire jism meñ aag aisī lagī hai
jise saikḌoñ kyā
hazāroñ samundar bujhāne ko aa.eñ
to bujhne na paa.e
mirī ruuh kī rahguzāroñ pe sho.ale
lapaktī zabānoñ ke kashkol le kar
mire jism se
ḳhuuñ kā ik qatra-e-ārzū māñgte haiñ
magar jism merā to ḳhud ek daryūza-gar hai
jo lamha-ba-lamha
ḳhud apnī lagā.ī huī aag meñ
jal rahā hai
ḳhayāloñ ke saa.e bhī
ik ātish-e-ġhair-mahsūs meñ jal rahe haiñ
koī hai
jo mujh ko najāt is tapish se dilā.e
koī hai
jo mere liye ek aisā samundar batā.e
jo koī bhī jāñ-dār-o-be-jān maḳhlūq ke lams se
āshnā tak nahīñ ho
jo ḳhud apne darpan meñ
shakl apnī hī dekh kar
jī rahā ho
agar tum ko aisā samundar mile to batāo
ki ye ātish-e-ġhair-mahsūs
aise samundar se hī bujh sakegī
kahāñ hai samundar
kahāñ hai samundar
ki maiñ ātish-e-lams kī lazzat-e-ġhair-mahdūd se
ab pighalne lagā huuñ
mere jism mein aag aisi lagi hai
jise saikDon kya
hazaron samundar bujhane ko aaen
to bujhne na pae
meri ruh ki rahguzaron pe shoale
lapakti zabanon ke kashkol le kar
mere jism se
KHun ka ek qatra-e-arzu mangte hain
magar jism mera to KHud ek daryuza-gar hai
jo lamha-ba-lamha
KHud apni lagai hui aag mein
jal raha hai
KHayalon ke sae bhi
ek aatish-e-ghair-mahsus mein jal rahe hain
koi hai
jo mujh ko najat is tapish se dilae
koi hai
jo mere liye ek aisa samundar batae
jo koi bhi jaan-dar-o-be-jaan maKHluq ke lams se
aashna tak nahin ho
jo KHud apne darpan mein
shakl apni hi dekh kar
ji raha ho
agar tum ko aisa samundar mile to batao
ki ye aatish-e-ghair-mahsus
aise samundar se hi bujh sakegi
kahan hai samundar
kahan hai samundar
ki main aatish-e-lams ki lazzat-e-ghair-mahdud se
ab pighalne laga hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.