Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo pahle thi so ab bhi hai

Razi Badayuni

jo pahle thi so ab bhi hai

Razi Badayuni

MORE BYRazi Badayuni

    nadāmat se subuk-sārī jo pahle thī so ab bhī hai

    sadāqat se girāñ-bārī jo pahle thī so ab bhī hai

    mizājoñ meñ vo makkārī jo pahle thī so ab bhī hai

    diloñ ko sach se be-zārī jo pahle thī so ab bhī hai

    taḳhayyul meñ ba-zāhir inqalāb aayā to hai lekin

    sitam garm-bāzārī jo pahle thī so ab bhī hai

    samajhte the ki āzādī masarrat le ke aa.egī

    ġharībī aur nādārī jo pahle thī so ab bhī hai

    nahīñ ab tak hamāre zāhir-o-bātin meñ yak-rangī

    numā.ish aur makkārī jo pahle thī so ab bhī hai

    farañgī asīrī se to āzādī milī lekin

    ġhulāmī fazā taarī jo pahle thī so ab bhī hai

    zamāna kuchh kahe lekin ye ik raushan haqīqat hai

    'razī' apnī vaza-dārī jo pahle thī so ab bhī hai

    nadamat se subuk-sari jo pahle thi so ab bhi hai

    sadaqat se giran-bari jo pahle thi so ab bhi hai

    mizajon mein wo makkari jo pahle thi so ab bhi hai

    dilon ko sach se be-zari jo pahle thi so ab bhi hai

    taKHayyul mein ba-zahir inqalab aaya to hai lekin

    sitam ki garm-bazari jo pahle thi so ab bhi hai

    samajhte the ki aazadi masarrat le ke aaegi

    gharibi aur nadari jo pahle thi so ab bhi hai

    nahin ab tak hamare zahir-o-baatin mein yak-rangi

    numaish aur makkari jo pahle thi so ab bhi hai

    farangi ki asiri se to aazadi mili lekin

    ghulami ki faza tari jo pahle thi so ab bhi hai

    zamana kuchh kahe lekin ye ek raushan haqiqat hai

    'razi' apni waza-dari jo pahle thi so ab bhi hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now