jumud
ye shaam shām-e-avadh nahīñ hai jise tumhārī siyāh zulfeñ chhupā sakeñgī
ye sub.h sub.h-e-tarab nahīñ hai
ye ik dhuñdlakā hai ek kohrā
ubharte sūraj kī garm kirnoñ ke ḳhvāb sayyāl ho ga.e haiñ
zamīn apnī ragoñ kī garmī luTā chukī hai
hayāt aañsū bahā rahī hai
har ek barg-o-samar pe motī jhalak rahe haiñ
tum apne āñchal pe bazm-e-parvīñ sajā chukī ho
tum apne anfās ke jilau meñ hazāroñ ġhunche khilā chukī ho
ḳhirām-e-nāzuk kī sāhirī se zamīñ ko jannat banā chukī ho
tum ik tabassum se kitnī sham.eñ jalā chukī ho
magar ye shām-e-avadh nahīñ hai
ki sham.a ab tak jalī nahīñ hai
ye sub.h sub.h-e-tarab nahīñ hai
ki sham.a ab tak bujhī nahīñ hai
ye vaqt kā ik ajiib lamha hai jis kī sharyānoñ meñ ḳhuun jamne lagā hai
ye ek afsūn-e-dilbarī hai
na sub.h-e-vaslat na shām-e-hijrāñ
na bū-e-yūsuf na chaak dāmāñ
tumhāre āñchal kī bazm-e-parvīñ ujaḌ chukī hai
tumhārī mauj-e-yaqīñ se kitne guloñ ke chehre utar ga.e haiñ
tumhāre qadmoñ kī āhaToñ ne chaman ko vīrāñ banā diyā hai
ye sham sham-e-awadh nahin hai jise tumhaari siyah zulfen chhupa sakengi
ye subh subh-e-tarab nahin hai
ye ek dhundlaka hai ek kohra
ubharte suraj ki garm kirnon ke KHwab sayyal ho gae hain
zamin apni ragon ki garmi luTa chuki hai
hayat aansu baha rahi hai
har ek barg-o-samar pe moti jhalak rahe hain
tum apne aanchal pe bazm-e-parwin saja chuki ho
tum apne anfas ke jilau mein hazaron ghunche khila chuki ho
KHiram-e-nazuk ki sahiri se zamin ko jannat bana chuki ho
tum ek tabassum se kitni shamen jala chuki ho
magar ye sham-e-awadh nahin hai
ki shama ab tak jali nahin hai
ye subh subh-e-tarab nahin hai
ki shama ab tak bujhi nahin hai
ye waqt ka ek ajib lamha hai jis ki sharyanon mein KHun jamne laga hai
ye ek afsun-e-dilbari hai
na subh-e-waslat na sham-e-hijran
na bu-e-yusuf na chaak daman
tumhaare aanchal ki bazm-e-parwin ujaD chuki hai
tumhaari mauj-e-yaqin se kitne gulon ke chehre utar gae hain
tumhaare qadmon ki aahaTon ne chaman ko viran bana diya hai
- Book : Aina Khane (Pg. 147)
- Author : Akhtar payami
- Publication : Zain Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.