junun-zat
ham junūñ-zāt tire hukm pe nikle jānāñ
aise nikle haiñ ki shāyad hī palaT kar aa.eñ
dil ne ik ḳhvāb jo dekhā to pukārā uTh ke
hukm utrā hai ki ghar-bār ko tanhā chhoḌeñ
apnī vaadī se kisī dasht ko hijrat pakḌeñ
apne bāġhāt-o-chaman-zār ko tanhā chhoḌeñ
is se pahle ki rag-o-pai meñ siyāhī phaile
apne darbār-e-tarab-zār se bāhar nikleñ
is se pahle ki shab-e-zīst kā pahlū badle
rāhateñ tark kareñ aur safar par nikleñ
aur jab raah talāsheñ to safar meñ aise
ki qadam dard ke māroñ ke havāle kar deñ
apne hāthoñ ko yatīmoñ ke saroñ par rakh deñ
apnī āñkhoñ ko bichāroñ ke havāle kar deñ
itnā sunñā thā ki bas raḳht-e-mohabbat bāñdhā
apne andar kī kudūrat ke daroñ ko toḌā
apnī ḳhvāhish-zada ‘ādāt pe taale Daale
apnī ḳhud-ġharz tamannāoñ ko pīchhe chhoḌā
aur hamrāh tire pyaar parinde le kar
apne hāthoñ meñ tirī chaah kī sham'eñ thāme
apne hoñToñ pe tire dard ke naġhme le kar
apne māthe pe tire shauq kā sahrā bāñdhe
ham junūñ-zāt tire hukm pe ḳhud se nikle
aise nikle haiñ ki shāyad hī palaT kar aa.eñ
hum junun-zat tere hukm pe nikle jaanan
aise nikle hain ki shayad hi palaT kar aaen
dil ne ek KHwab jo dekha to pukara uTh ke
hukm utra hai ki ghar-bar ko tanha chhoDen
apni wadi se kisi dasht ko hijrat pakDen
apne baghat-o-chaman-zar ko tanha chhoDen
is se pahle ki rag-o-pai mein siyahi phaile
apne darbar-e-tarab-zar se bahar niklen
is se pahle ki shab-e-zist ka pahlu badle
rahaten tark karen aur safar par niklen
aur jab rah talashen to safar mein aise
ki qadam dard ke maron ke hawale kar den
apne hathon ko yatimon ke saron par rakh den
apni aankhon ko bichaaron ke hawale kar den
itna sunna tha ki bas raKHt-e-mohabbat bandha
apne andar ki kudurat ke daron ko toDa
apni KHwahish-zada ‘adat pe tale Dale
apni KHud-gharz tamannaon ko pichhe chhoDa
aur hamrah tere pyar parinde le kar
apne hathon mein teri chah ki sham'en thame
apne honTon pe tere dard ke naghme le kar
apne mathe pe tere shauq ka sahra bandhe
hum junun-zat tere hukm pe KHud se nikle
aise nikle hain ki shayad hi palaT kar aaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.