justification
ye sach hai māh-rū
sach hai
vo maktūb-e-mohabbat
kal jo mere naam se tum ko milā
maiñ ne hī likkhā thā
ki jab betābī-e-dil had se baḌh jaa.e
aur iz.hār-e-tamannā rū-ba-rū karne meñ mushkil ho
to aisī koī laġhzish ho hī jaatī hai
bahut majbūr thā maiñ dil ke hāthoñ
jis samay kuchh soche-samjhe bin
tumhāre naam maiñ ne naama likh bhejā
ka.ī ik aisī bāteñ thiiñ
ki jin par ġhaur lāzim thā
ka.ī ḳhadshāt aise the
kahīñ ye ḳhat tumhārī aur mirī rusvā.ī kā baa.is na ban jaa.e
kahīñ aisā na ho ye ḳhat tumhārī tab-e-nāzuk par girāñ guzre
kahīñ aisā na ho tum mere lafzoñ ko hañsī jaano
kahīñ aisā na ho tum ḳhat ko khole bin hī nazr-e-ḳhāk-dāñ kar do
magar phir bhī tumheñ ḳhat bhejne se peshtar
maiñ ne na kuchh sochā na kuchh samjhā
mujhe ehsās hai jānāñ
ki laġhzish ho ga.ī mujh se
mirī tum se guzārish hai
ye laġhzish darguzar kar do
ki chāhat meñ kabhī ai jaan
aisī koī laġhzish ho hī jaatī hai
ye sach hai mah-ru
sach hai
wo maktub-e-mohabbat
kal jo mere nam se tum ko mila
main ne hi likkha tha
ki jab betabi-e-dil had se baDh jae
aur izhaar-e-tamanna ru-ba-ru karne mein mushkil ho
to aisi koi laghzish ho hi jati hai
bahut majbur tha main dil ke hathon
jis samay kuchh soche-samjhe bin
tumhaare nam main ne nama likh bheja
kai ek aisi baaten thin
ki jin par ghaur lazim tha
kai KHadshat aise the
kahin ye KHat tumhaari aur meri ruswai ka bais na ban jae
kahin aisa na ho ye KHat tumhaari tab-e-nazuk par giran guzre
kahin aisa na ho tum mere lafzon ko hansi jaano
kahin aisa na ho tum KHat ko khole bin hi nazr-e-KHak-dan kar do
magar phir bhi tumhein KHat bhejne se peshtar
main ne na kuchh socha na kuchh samjha
mujhe ehsas hai jaanan
ki laghzish ho gai mujh se
meri tum se guzarish hai
ye laghzish darguzar kar do
ki chahat mein kabhi ai jaan
aisi koi laghzish ho hi jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.