ham tirī justujū meñ agar mar ga.e
qahqahoñ kā muqaddar sañvar jā.egā
hādsoñ kī nigāheñ bahak jā.eñgī
vaqt sho.ala-ba-lab āzmā.ish-nafas
kāmrāñ kāmrāñ zo.am-e-bātil meñ gum
naḳhl-e-taḳh.īl ke patte patte kā dil
be-mahābā jhulasne kī ḳhvāhish liye
vādī-e-chashm-e-imkāñ pe chhā jā.egā
ham tirī justujū meñ agar mar ga.e
rahravoñ ke qadam laḌkhaḌā jā.eñge
thak ke so jā.eñge ziist ke kārvāñ
phir jumūd apnī farsūda tangī liye
har kushāda ravānī pe chhā jā.egā
justujū ke qadam vādī-e-vaqt meñ
manziloñ ko pukāreñge be-sāḳhta
lekin un ke muqaddar meñ rāheñ kahāñ
un kī āvāz ubharte hī mar jā.egī
hum teri justuju mein agar mar gae
qahqahon ka muqaddar sanwar jaega
hadson ki nigahen bahak jaengi
waqt shoala-ba-lab aazmaish-nafas
kaamran kaamran zoam-e-baatil mein gum
naKHl-e-taKHil ke patte patte ka dil
be-mahaba jhulasne ki KHwahish liye
wadi-e-chashm-e-imkan pe chha jaega
hum teri justuju mein agar mar gae
rahrawon ke qadam laDkhaDa jaenge
thak ke so jaenge zist ke karwan
phir jumud apni farsuda tangi liye
har kushada rawani pe chha jaega
justuju ke qadam wadi-e-waqt mein
manzilon ko pukarenge be-saKHta
lekin un ke muqaddar mein rahen kahan
un ki aawaz ubharte hi mar jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.