justuju
tasavvur meñ saare jahāñ dekhtī huuñ
makīñ dekhtī huuñ makāñ dekhtī huuñ
bhaTaktī phirī saare aalam meñ har sū
jahāñ maiñ nahīñ huuñ vahāñ dekhtī huuñ
chamakte sitāroñ meñ dekhā hai us ko
maiñ jharnoñ meñ us ko nihāñ dekhtī huuñ
kabhī chāñd sūraj kī kirnoñ meñ DhūñDā
vahāñ rañg-ba-rañg kahkashāñ dekhtī huuñ
kabhī us ko phūloñ kī ḳhushbū meñ dekhā
fazāoñ meñ us ko ayaañ dekhtī huuñ
ye mausam badalte jahānoñ ke dekhe
maiñ shabnam meñ us kā samāñ dekhtī huuñ
ba-dosh-e-sabā uḌ ke pahuñchī jahāñ tak
maiñ samt-e-jahāñ be-karāñ dekhtī huuñ
chalūñ phir yahāñ se zarā aur aage
maiñ sāhil pe mauj-e-ravāñ dekhtī huuñ
nazar meñ junūñ ke hai nafrat har ik sū
diloñ meñ maiñ tīr-o-kamāñ dekhtī huuñ
na insāñ meñ ulfat na insāniyat hai
sulagte laboñ par fuġhāñ dekhtī huuñ
na paayā sukūñ kyoñ 'adā' maiñ ne āḳhir
tapish apne dil kī tapāñ dekhtī huuñ
tasawwur mein sare jahan dekhti hun
makin dekhti hun makan dekhti hun
bhaTakti phiri sare aalam mein har su
jahan main nahin hun wahan dekhti hun
chamakte sitaron mein dekha hai us ko
main jharnon mein us ko nihan dekhti hun
kabhi chand suraj ki kirnon mein DhunDa
wahan rang-ba-rang kahkashan dekhti hun
kabhi us ko phulon ki KHushbu mein dekha
fazaon mein us ko ayan dekhti hun
ye mausam badalte jahanon ke dekhe
main shabnam mein us ka saman dekhti hun
ba-dosh-e-saba uD ke pahunchi jahan tak
main samt-e-jahan be-karan dekhti hun
chalun phir yahan se zara aur aage
main sahil pe mauj-e-rawan dekhti hun
nazar mein junun ke hai nafrat har ek su
dilon mein main tir-o-kaman dekhti hun
na insan mein ulfat na insaniyat hai
sulagte labon par fughan dekhti hun
na paya sukun kyon 'ada' main ne aaKHir
tapish apne dil ki tapan dekhti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.