jyamiti
jīvan bhī jyāmitī kī tarah
pūrak aur anūpūrak konoñ se hotā hai sanchālit
kuchh pakaḌte haiñ to chhūT jaatā hai bahut kuchh
kuchh chhūTtā hai to mil jaatā hai kuchh
apne hisse kā maan hī nahīñ miltā
yahāñ paanā hotā hai apmān bhī
jo khātā hai kaT.hal kā ko.ā
use hī pachānā hotā hai biij aur mūsal bhī
keval devtāoñ ke hisse aa.e
vish kā paan karte haiñ shiv
manushyya ko ḳhud hī piinā hotā hai
apne hisse kā vish
jiwan bhi jyamiti ki tarah
purak aur anupurak konon se hota hai sanchaalit
kuchh pakaDte hain to chhuT jata hai bahut kuchh
kuchh chhuTta hai to mil jata hai kuchh
apne hisse ka man hi nahin milta
yahan pana hota hai apman bhi
jo khata hai kaThal ka koa
use hi pachana hota hai bij aur musal bhi
kewal dewtaon ke hisse aae
wish ka pan karte hain shiw
manushyya ko KHud hi pina hota hai
apne hisse ka wish
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.